Assalamu Alaikum Dosto!
PIPs
Forex trading k kisi bhi do currencies pairs k darmeyan harkat ko malom karne k leye jo ekaye istemal ki jati hai, uss ko "PIP" or “Percentage in Point” kaha jata hai.all over the world forex trading market main sab se ziadda trading hone wali currencies main American Dollar (USD), Euro (EUR), Japanese Yen (JPY) aur aik khas had tak British Pound (GBP) shamil hen. Ye currencies hamesha pairs ki sorat main trade ki jati hai, jiss main ziada tar currencies ki value ishara (point) baad chaar tak ki value hoti hai, jaise EURUSD ki value 1.1430 hai. Currencies ka hawala (quoted) ishareya k baad fourth decimal point par hai, jiss kamatlab hai k tabdeeli ki sab se choti ikaye ishareya k baad fourth number hai. Sirf Japanese Yen (JPY) ko chor kar baqqi sab par ye rule apply hotta hai. Japanese Yen (JPY) wali currencies pairs main ishareya k baad dosre number pips ki ikaye hotti hai, q k Japanese ki value dosre currencies pairs k muqabele main ziada tez up down hoti hai.
Jab bhi currencies ki vaue main izzafa ya kami hoti hai, to ye pairs up and down movement karna shoro karti hai. Forex trading market main currencies pairs ki up down harkat pips main hotti hai, iss waja se market main honne wale nafa aur nuqsan (profit and loss) ka hisab bhi pips main hi count kia jatta hai. Pips k mutaleq knowledge rakhna aur iss ki calculation bohut zarorri hai.
Base aur Quote Currency
Currencies ko hmesha pairs ki sorat main trade kia jata hai, iss waja se jab bhi hum aik currency ko buy kartte hen, to automatically dosre currency ko sath main sell kar rahe hotte hen. Currency pairs main 1st currency ko Base Currency jab 2nd currency ko Quote Currency kaha jatta hai. Base currency k buy karnne se quote currency sell hotti hai, aur sell karnne par buy hotti hai. Aggar aik currency jore jaisa k EURUSD ki maojooda qeemat 1.1350 ho to iss ka matlab hai k one (1) EUR 1.1350 USD k barabar hai. Currency pair main base currency ki value hamesha 1 k barabar hoggi aur quote currency ki value maukhtalif hoggi, ye ziadda ya kam ho saktti hai. Q k base currency main hoti hai, iss waja se qoute currency k value updown hogi.
EURUSD ko maojooda qeemat yanni 1.1350 par buy kartte ho, currency pair bullish harkat karta howa 1.1352 tak jatta hai, aur aap iss point par currency jore k trade ko close kartte ho to iss ka matlab hai k aapko 2 pips hasil howe, kisi currency pairs se nafa aur nuqsan ka ziada ya kam hona traders k selected lot size par munhasir hota hai.
Pipette
Aap ne aksar Mt4 ya Mt5 plateform main currencies pairs ki 5th digits dekhen hongay. Jab pips ko mazzeed 10 par taqseem kia jaye to uss se jo result ata hai, wo "Pipette" ban jata hai, ya aik pip ka daswan (10th) hisa hotta hai. Wese trading plateforme main ye nazzar to atta hai, lekin iss ki normal trading main koi khas value nahi hotti hai, pips ki asal value 4rth digit tak hi hotti hai. Q k asal pip uss se hi shoro hotta hai. Pipette ka istemal sirf aik hi jaggah hotta hai aur wo hai "Nano accounts" ya "cent account" amin.
1Pip = 1/10 Pipeete OR
1Pipeete = 0.1 Pip or 0.00001
PIPs Calculation
Aggar EUR/USD currency pair ki mojoda price 1.1352 hon, to EURUSD currency jore main 1 EUR 1.13852 USD ki value k barabar hotta hai. Ab ye 1.1352 value 11,352 pips k barbar hai. Pips kisi jore ki vlaue ko right side se left side ki taraf count kartta hai. Jesa k, 1.1352 main last 2 digit pehla pip hogga, jo k 2 pips k barabar hogga, isi tarah 5 digit 50 pips ka, 3 digit 300 pips, 1 digit 1000 pips aur last ya left side se pehla digit 10000 pips k barabar hai.
EURUSD ki aggar maojooda price 1.1350 par aik lot ki position open ki hai, yanni iss currency jore ko yahan par buy kia hai, to iss ka matlab hai k 10000 EUR ko buy karne k leye aap ko 1,1350 USD ki zarrorat hoggi. Currency jore k price 1.1352 par move karne se app ko 2 pips hasil hotte hen, to aap ko iss ko peso main tabdeel karnna zarrori hai. Pehle apko currency jore k pips ko exchange karengay, q k humen 2 pips ka munaffa howa tha.
1pip = 0.0001 hai
((0.0001/1.1350) x 100,000) = 8.8 EUR aik pip ki value hai. Aapko trading main 2 pips ka munafa howa tha aur 1 pip ka munafa 8.8 hai to 2 pips ka munaffa hogga,
2pips × 8.8 = $17.6
Note: yahan par aik baat jo not karene wali hai, wo ye k big lot size hamesha trading par asar andaz hota hai, q k lot size k barhane se trading volume ki miqdar barh jati hai, jiss se profit aur loss par bohut gehra asar parta hai. Hamesha Money management aur risk management ko made nazar kar trading karen, business rato raat ameer nahi bana sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим