explain bullish hammer candle stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    explain bullish hammer candle stick pattern
    what is bullish hammer candle stick pattern



    hammer candle stick pattern aik bullish trend reversal candle stick pattern hota hey jes mein aik long lower shadow hota hey or candle stick kay upper body mein aik chta sa shadow hota hey forex market mein hammer candle stick pattern bananay kay bad price bearish kay trend say bullish kay trend mein tabdel ho jate hey
    hammer candle stick mein aik relevant bullish candle stick hote hey dono price chart par aik trend ko tabdel kartay hein khod trader forex market mein anay wallay trend ke tabdele ko paish karnay kay ley forex market ko baray paimanay mein estamal kartay hein Click image for larger version

Name:	Capture.JPG
Views:	1
Size:	24.4 کلوبائٹ
ID:	12598169


    pehchan bullish hammer candle stick pattern


    structure



    hammer candle stick total candle stick nechay ke taraf long hota hey long ka matlab yeh hota hey keh candle stick ka mokamal size hota hey jo keh 60 say 70 % say zyada hona chihay candle stick kay per aik chota sa body hota hey jes ke body kay oper koi shadow nahi hota hey


    location




    price chart par candle stick pattern ka zaroore size parameter ke sorat mein he hota hey yeh pattern forex chart par majod sungom ko achay say pattern karnay ke koshesh kartay hein forex market mein hammer candle stick ke sorat mein he hote hey es ko forex market mein support zone ya demand zone par banana chihay Click image for larger version

Name:	Capture.JPG
Views:	1
Size:	25.9 کلوبائٹ
ID:	12598172


    Prior trend



    hammer pattern say sabqa trend bearish ka hota hey es ko 2 say teen bearish candle stick kay bad banana chihay ager yeh forex market mein range kay adar banta hey to hammer pattern ka hasas mokamal tor par badal jay ga to bullish trend tabdel honay mein nakam ho jay ga Click image for larger version

Name:	Capture.JPG
Views:	1
Size:	26.6 کلوبائٹ
ID:	12598173


    Day trading strategy with hammer candle stick pattern


    es bat khas kheyal rakhna chihay keh aik candle stick ko daikh kar strategy nahe banana chihay yeh hamesha kam say kam teen kesam technical indicator ka estamal kar kay karna chihay chonkeh forex market mein aisa karna say winning kay imkanat increase ho jatay hein or sath he risk management kay ezafay say hum aik winning wale trading strategy bana saktay hein


    open buy entry


    jab forex market mein privce kay chart par bullish hammer candle stick pattern banta hey to forex market mein highs candle stick par kuch pips kay oper zair e altawa buy ke entry open karne chihay or hammer candle stick kay lower hesay ya support zone kay nechay stop loss rakhen ap ko zyada trading analysis nahe hotay hein to ap ko stop loss ko set karnay kay ley kadamat pasand tarekay ka intakhab karna chihay
    Click image for larger version

Name:	Capture.JPG
Views:	1
Size:	39.7 کلوبائٹ
ID:	12598174
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Hammer Candle
    Hammer candle single candle family ki ek qisam hai, jis main candle ki shap ek hathore ki tarah bantti hai. Jab bhi prices ek matlobba timeframe me trading k dowran apne open point se bearish janne k baad wapis apne open position par ya us k qareeb band ho jaye to ye ek Hammer candle banati hai. Yanni Hammer candle main prices ka open aur close position to aik dosre k qareeb hotta hai, lekin low side par aik lamba saya hotta hai, aur ya ye bhi dekhne main melta hai, k is candle ka upper side par wick hotta hi nahi hai. Hammer candle main prices pore din tak sellers k hath main rehtti hai, lekin pher bhi ye close apne aghazz k position k qareeb hotte hen.
    Candles Formation
    Hammer candle aam tawar par aik neutral hi tasawar ki jatti hai. Lekin low price ya bearish trend main ye candle bullish trend reversal ki waja se bullish tasawar ki jati hai, candle ki formate darjazzel tarah se hoti hai; Hammer Candle: Hammer candle k open aur close aik dosre k qareeb hota hai, lekin candle k lower side par aik long shadow ya wick hotti hai. Ye wick prices k bearish trend ki kamzori aur bullish trend reversal ka ishara hotta hai. Candle ki small body k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, nis se prices k upward par mazboti ki akasi hoti haiaur ye position prices k leye aik strong support level ka kaam karti hai.
    Explaination
    Hammer candle main prices bullish aur bearish dono tarah se ban sakti hai, yani open aur close qareeb hone se candle ki real body ki khas value nahi hoti hai. Lekin ye candle is waja se bullish tasawar ki jatti hai, q k bearish trend ya low prices ko mazzeed nechay janne se mustarad kia jata hai. Hammer candle ki psychology kuch iss garah se hoti hai k bearish trend k dowran sellers prices ko nechay ki taraf push karte hen, lekin ussi dowran buyers bhi market main active ho jate hen, jiss se prices wapis candle k open price k qareeb a kar close hoti hai. Hammer candlestick market me current trend k khatme ka aik strong signal deta hai, jis se hum prices k next movement ka asani k sath prediction kar sakte hen.
    Trading
    Hammer candle single formate ki Umbarella family ki candle hotti hai, jo k short timeframes main to bohut ziadda bantti hai, lekin long timeframes main kam hi dekhaye detti hai. Short timeframe main is candle ki koi ahmeyat nahi hai. Long bearish trend main banne par ye candle bullish trend reversal candle tasawar ki jatti hai. Traders k leye zarorri hai, k aik to Hammer candle ka timeframe H4 se kam na ho, dosra ye downtrend ya bohut low price area main banni chaheye. Candle par buy ki entry hogi lekin trend confirmation k leye aik bullish candle ki zarrorat hogi. Stop Loss Hammer candle k low prices yani wick k sab se last price pe set hoga, ya uss se thora sa nechay set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X