Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Doji-Star Candlestick Pattern
Morning doji-star candlestick pattern mukhtalif candles par mushtamil aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom ya downtrend main bannta hai. Ye pattern "Evening doji-star pattern" k opposite formation main bantta hai, jab k "Morning Star Pattern" se mushabehat rakhta hai. Ye pattern prices k bottom main banne ki waja se prices k leye mumkinna tawar par aik bullish trend reversal ka kaam kartta hai. Pattern ki dosree candle aik doji candle bagher real body wali hotti hai, jo k prices ko mazeed bearish jane se bachati hai, jiss se market par bulls ka ghalbba a jatta hai, aur qeematen upper side par chalna shoro karti hai.
Candles Formation
Morning doji-star candlestick pattern teen candles par mushtamil hai, jiss main har aik candle aik dosre se mukhtalif formate main bantti hai. Pattern ki pehlee candle trend k mutabiq bearish candle hotti hai, jab k dosree candle aik doji candle hoti hai, jab k teesri candle bullish candle hotti hai, jis ki tarteeb darjazzel hai;
1. First Candle: Morning doji-star candlestick pattern main pehli candle aik long real body wali strong bearish candle hai, jo k market main bearish taqqat dekhatti hai, ye candle normal aik black ya red color main bantti hai. Jiss ka open price close price k top par hota hai.
2. Second Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hotti hai, ye candle aam tawar par aik doji-star candle bantti hai, jis ka open aur close same price par hota hai. Ye candle pehli candle se lower gap main banti hai, jo k prices ko mazeed nechay jane main rukawat dalti hai.
3. Third Candle: Morning doji-star candlestick pattern main teesri candle aik strong real body main hotti hai, ye candle bullish trend ki white ya green ki color main bantti hai. Bullish candle dosri doji candle k close k baad open hotti hai, jab k pehli candle k midpoint se above close hotti hai.
Explanation
Morning doji-star candlestick pattern prices k bottom position par banne ki waja se prices k leye bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye pattern bearish, doji-star candle aur bullish candles par mushtamil hai, jo morning star candlestick pattern se mushabehat rakhta hai. Pattern ki dosri banne wali doji-star candle prices ko mazeed bearish janne se rokti hai, aur third bullish candle ki waja se bullish trend main tabdeel karwa detti hai. Morning doji-star candlestick pattern ki pehli strong bearish trend market main sellers ki pressure ko dekha rahi hotti hai, lekin dosri small doji-star candle is bearish pressure main kami ka sabab bantti hai, jab k teesri long bullish candle market main buyers ka control aur trend change ka signal detti hai. Ye pattern ziadda bottom position par strong reaction detta hai.
Trading
Morning doji-star candlestick pattern main teesri candle prices k tabdeeli ki waja banti hai, lekin market main sirf in pattern ki wajja se entry nahi ki ja saktti hai, bulke is k leye mazeed confirmation indicator ka signal ye bullish confirmation candle ki zarorat hotti hai. Morning doji-star candlestick pattern main agar teesri candle pehli candle k midpoint se above ja k close hotti hai, to ye aik strong signal detti hai. Agar pattern k teesri candle k baad bullish candle banne par market main buy ki entry ki ja saktti hai. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya doji-star candle k lower price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим