Assalamu Alaikum Dosto!
Upside Tasuki Gap Pattern (Bullish)
Bullish tasuki gap candlestick pattern "Gap Pattern" k family se taluq rakhne wala aik bullish continuation pattern hai. Ye pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jo k prices k bullish trend ya high area main paya jata hai. Pattern ki pehle do candles bullish jab k ajahri candle bearish hoti hai. Pehli candle k baad banne wali dosri aur teesri candle up side par gap main banti hai. Dosri aur teesri candles taqreeban size main aik jaisi hoti hai, lekin ye zarori nahi hai. Pattern ki pehli candle bullish trend ki akasi karti hai jo k long real body par mushtamil hoti hai. Ye pattern "Bullish Gap" pattern ka advance version hai q k iss main teen candles hoti hai.
Candles Formation
Bullish tasuki gap candlestick pattern main pehli do candles "Bullish Gap Pattern" ki tarah bullish bhi hoti hai aur aik fosre se upside main gap main bhi bante hen. Pattern ki k last par aik aur bearish candle bhi hoti hai, jiss se "Bullish Gap" pattern "Bullish tasuki gap pattern" main badal jata hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main hoti hai. Ye candle bullish trend ki mazboti batati hai, aur iss ka color white green yanni bullish hota hai.
2. Second Candle: Bullish tasuki gap candlestick pattern main dosri candle bhi bullish hoti hai, lekin ye candle aik to aksar size main pehli candle se kam hoti hai, lekin zarrori nahi k aisa hi ho, dosra ye candle pehle candle k above gap main main banti hai. Prhli candle se dosri candles ka gap main banna prices ka "Bullish Gap Up" pattern banati hai. Ye candle bhi bullish honne ki waja se white ya green color main banti hai.
3. Third Candle: Bullish tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color black ya red hota hai. Ye candle dosri candle k closing point par open hoti hai, aur thora sa nechay (real body k sath) close hoti hai. Ye candle pehli aur dosri candles k darmeyan banne wale gap ko cover nahi karta hai, jiss se ye candle prices ko bearish trend main badalne main nakam rehti hai.
Explaination
Bullish tasuki gap candlestick pattern aik bohut nayab pattern hai, jo k bullish prices k trwnd continuation pattern k leye istemal hota hai. Ye pattern high price ya bullish trend main banta hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli aur dosri candle apas main up side par gap banate hen, jo k same "Bullish Gap Up" pattern jaisa hota hai. Dosri candle k baad banne wali teesi candle aik bearish real body wali candles hoti hai, jo k open to dosri candle k close price par hoti hai lekin close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai. Bullish tasuki gap candlestick pattern main shamil teeno candles real body main hoti hai, jiss main ziada tar dosri aur teesri candles ka size same hota hai (lrkin ye zarori nahi hai).
Trading
Bullish tasuki gap candlestick pattern main teesri candle bearish banne k bawajood bhi ye pattern prices ko bearish trend main reversal karne main nakam hoti hai, jiss se prices bullish trend continuation ka signal deti hai. Pattern ki teesri candle open to dosri candle k close price par hoti hai lekin gap main close ho jati hai. Agar ye candle gap ko cover bhi karen lekin ziada nechay na jaye jiss se pehli candle ka close point ho to bhi pattern ko darust mana jata hai. Pattern ki teesri candle ka position bohut aham hai, k wo gap main se ziada nechay na jaye. Agar wo aisa karti hai to ye pattern invalid ho jayega. Pattern par trading k leye confirmation candle ka honna zarrori hai, jo k teesri candle k baad aik bullish candle ka honna chaheye. Confirmation candle ka bearish candle se above close hona chaheye aur pattern ka Stop Loss pattern k sab se downside jo umoman pehli candle ka lower side ya open position banta hai, se aik ya do pips nechay set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим