Four Price Doji Candle Stick:-
Aslam u alaikum,
Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Four price doji candle doji class candle ki aik qisam hai, jo k baqi doji candles se bohut mukhtalif hai, ye candle us waqat banti hai, jab market me open, low, high aur close (sab) ki qeemat (position) aik (same) ho. Four price doji candle market me bohut kam hi banti hai, q k is k leye zarori hai k sari side aik hi position pe band ho.
Dosri doji candlestick patterns ki tarah four price doji ko bhi qeematon k tasalsul (continuation) ya wapasi (reversal) se tabeer kia jata hai, is k leye zarori hai k dekha jaye k ye doji candle kahan (position) pe banti hai. Agar is four price doji ko kisi high qeemat area ya bullish harkat k bad paye jaye to ye trend reversal ya bearish trend ki taraf ishara karti hai.
Agar ye kisi kam qeemat wale area ya kisi bearish position pe a jaye to ye bhi trend reversal ya bullish trend ki taraf ishara karti hai. Aur agar ye kisi sideways trend me ban jaye to isbko neutral shumar kia jayega.
Four Price Doji Candle banne k baat market me trend reversal chances ziada ho jate hen, lekin pher bhi ihtiati tadabeer k tawar par market me agli candle k banne ka intezar kar lena chaheye, us k bad hi buy ya sell ka faisala karna chaheye. Four Price Doji Candle bohut kam hi market me banti hai, is ko trend reversal ya trend continuation dono k leye leya ja sakta hai. Jab bhi ye candle banne ka matlab hai, k qeematen kam mutaharek hen, ya un pe kisi side se ziada dabao nahi hai. Agar four price doji bearish trend k baad banti hai aur teesri candle bullish banti hai, to is ka matlab hai k bearish trend bullish trend me badal chuka hai, aur market buy entry k leye ready hai. Lekin agar fource price candle stick bullish trend k bad banti hai aur market me teesri candle bearish banti hai to isbka matlab hoga k qeematon ne trend beariah me badal deya hai aur market sell ki entry ki ja sakti hai.

Four Price Doji banne ki wajah

Four Price Doji pe Trading

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим