Continuation Candlesticks Patterns
Continuation patterns ya tasalsul patterns humen batate hen, k market mustehkam ho rahi hai ya aram kar rahi hai, jis k bad market k agay barhne ya apne sabeqa rujhan ko dobara shoro karne ki tawaqa ki jati hai. Lekin jo trend reversal patterns hote hen wo humen trend ki tabdeeli ya market k ulat jane se khabardar karte hen.
Koi bhi stock ya market pechay hate bagher seedhi line me uper ki taraf nahi barhta. Ye adwar jis me market pechay hat'ta hai, aam tawar par ye munafa lene ki waja se hote hen. Baaz awqat market overbought ya oversold zone me chali jati hai aur baaz dafa ye reverse ho kar wapis opposite trend pe move karna shoro karti hai, lekin market yakdam kabhi bhi apni trend nahi badalta hai, bulke pehle aik mukhtasir rebound hota hai.
Market me tasalsul ya continuation pattern mukhtasir trend k waqfay (pause) ki numayendagi karte hen. Wese to continuation patterns reversal patterns k muqabele me bohut kam hen, lekin reversal patterns ki tarah in ki bhi market ne bara amal dakhal zaror hota hai.
Continuation pattern ki kuch example darja zel hen:
Bullish & Bearish Separating Lines
Bullish & bearish separating line pattern me do mukhtalif (opposite) colour k candles par mushtamil trend continuation pattern hen.
Bullish separating line pattern bullish trend me banta hai, jis me pehli candle black candle ( black candle bullish trend k waqfay ki alamat hai) k bad aik bari white candle banti hai, jo trend ko apne pehke wale rujhan ya trend me continue karati hai.
Bearish separating line pattern downward ya bearish trend k bad banti hai aur is me pehli candle white jab k dosri aik bari black candle hoti hai, jo k bearish trend k tasalsul ko barqarar rakhyi hai.
Kicking Pattern
Kicking Pattern bhi aik trend continuation pattern hai, jo k dono sides yani bullish pattern b hota hai aur bearish side pe bhi hota hai. Kicking pattern bhi do mukhtalif colours ki candle par mushtamil hota hai, lekin is me banni wali dosri candle pehli candle se gap me banti hai.
Rising & Falling Three Candle Methods
Rising and falling three methods me teen candles musalsal same colour aur trend me hoti hai. Is pattern me banne wali teeno candles ki opening position apne se pehle wali candle k closing position k bad hoti hai. Ye pattern bhi trend continuation me shumar hota hai, aur ye bhi up and down dono sides pe hota hai.
Up & Down Side by Side White Candles
Up and down side by side white candles pattern bhi continuation pattern ki misal hen, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Agar is pattern me teeno candles white hon to ye pattern bullish continue pattern hoga, lekin agar pehle candle black aur baad wali do white candle hongi to ye bearish continue pattern hoga. Is pattern me 2nd aur 3rd number ki candles pehli candles se gap me open aur close hoti hai. Isi tarah is pattern k opposite pattern me Up and down side by side black candles hen.
High & Low Price Gaping Play
High & Low gaping price play pattern do mukhtalif colours ki candles par mushtamil pattern hai, jo k high & low prices area ya bullish & bearish trend ki continue karata hai. Is pattern me agar pehke se trend bullish ho aur akhari do candles me pehli candle black aur us k bad aik white candle gap me ban jaye to ye High price gaping play pattern hoga, lekin agar bearish pattern me 2nd last candle white ban jaye aur last candle aik bari black candle gap se ban jaye to ye Low price gaping play continue pattern hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим