Shooting Star Candlestick Kia Hai?
Shooting star candle main prices aik small real body k sath upper side par aik long shadow banati hai. Ye candle buyers k bullish trend k dowran prices ko waqti tawar par bullish le jane ki koshash hoti hai, lekin achanak ziada selling pressure aur high price area hone ki waja se aisa mumkin nahi hota hai. Lekin bullish trend main banne wali Shooting star candle prices k trend reversal ka sabab banti hai. Shooting star candle main real body shadow k muqabele main bohut kam hota hai, yanni shadow real body ka dugna ya uss se bhi ziada ho sakta hai. Shooting star candle main prices ka open aur close same nahi hona chaheye, q k aisa hone par ye candle aik Gravestone doji candle ban sakti hai.
Shooting star candle aik single pattern candle hai, iss waja se ye candle dono color ya pattern main ho sakti hai. Ye candle prices k bullish trend main banne par market k bearish trend reversal ka sabab banti hai. Shooting star candle high prices ya bullish trend main bnata hai, lekin bearish trend reversal honne ki waja se ye candle aik bearish candle shumar ki jati hai. Ye candle aik small real body main hoti hai, jiss k upper side par aik long shadow hota hai, jo k real body ka taqreeban dugna banta hai.
Shooting Star Candlestick Kaam Kese Karta Hai?
Shooting star candle jo k bullish trend main banne wale Hanging Man candle ki ulat shap main hoti hai, aik bearish trend reversal candle hai. Ye candle small real body main aik upper long shadow k sath banti hai. Candle ka shadow real body ka dugna ya uss se ziada hota hai. Ye candle bearish trend main banne wali Inverted Hammer candle se jaisi dekhti hai. Candle ki bullish trend main high prices main banna bohut ziada aham hai, jab k iss candle ka color khas qisam ka hona aham nahi hai. Candle k lower side par wese role k mutabiq to koi shadow nahi banna chaheye, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi ye pattern k mutabiq hota hai.
Shooting Star Candlestick Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Shooting star candle bearish trend main buyers ki taraf se aarzi koshash hoti hai, jiss main wo prices ko bullish push karte hen, lekin market main achanak selling dabao ki waja se prices wapis apne aghaz wali position k pass a kar close ho jati hai. Jiss se candle k small real body k sath upper side par aik long wick ya shadow ban jata hai. Ye shadow aik bearish trend ya sell signal ki alamat hoti hai. Trend confirmation ya market main entry karne se pehle aik black candle ya technical indicators ka overbought zone main hona zarori hai, jiss se prices k low hone ka ishara melta hai. Stop loss candle k sab se top side se two pips above set karen, jo mumkina resistance level sabit ho sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим