Important information about "Shooting Star Candlestick"
ہمارے کمیونٹی کے 15 سال!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Shooting Star Candlestick"
    Shooting Star Candlestick Kia Hai?

    Shooting star candle main prices aik small real body k sath upper side par aik long shadow banati hai. Ye candle buyers k bullish trend k dowran prices ko waqti tawar par bullish le jane ki koshash hoti hai, lekin achanak ziada selling pressure aur high price area hone ki waja se aisa mumkin nahi hota hai. Lekin bullish trend main banne wali Shooting star candle prices k trend reversal ka sabab banti hai. Shooting star candle main real body shadow k muqabele main bohut kam hota hai, yanni shadow real body ka dugna ya uss se bhi ziada ho sakta hai. Shooting star candle main prices ka open aur close same nahi hona chaheye, q k aisa hone par ye candle aik Gravestone doji candle ban sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (216).png
Views:	16
Size:	14.3 کلوبائٹ
ID:	12529128

    Shooting star candle aik single pattern candle hai, iss waja se ye candle dono color ya pattern main ho sakti hai. Ye candle prices k bullish trend main banne par market k bearish trend reversal ka sabab banti hai. Shooting star candle high prices ya bullish trend main bnata hai, lekin bearish trend reversal honne ki waja se ye candle aik bearish candle shumar ki jati hai. Ye candle aik small real body main hoti hai, jiss k upper side par aik long shadow hota hai, jo k real body ka taqreeban dugna banta hai.

    Shooting Star Candlestick Kaam Kese Karta Hai?


    Shooting star candle jo k bullish trend main banne wale Hanging Man candle ki ulat shap main hoti hai, aik bearish trend reversal candle hai. Ye candle small real body main aik upper long shadow k sath banti hai. Candle ka shadow real body ka dugna ya uss se ziada hota hai. Ye candle bearish trend main banne wali Inverted Hammer candle se jaisi dekhti hai. Candle ki bullish trend main high prices main banna bohut ziada aham hai, jab k iss candle ka color khas qisam ka hona aham nahi hai. Candle k lower side par wese role k mutabiq to koi shadow nahi banna chaheye, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi ye pattern k mutabiq hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (163).jpeg
Views:	57
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12529127

    Shooting Star Candlestick Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Shooting star candle bearish trend main buyers ki taraf se aarzi koshash hoti hai, jiss main wo prices ko bullish push karte hen, lekin market main achanak selling dabao ki waja se prices wapis apne aghaz wali position k pass a kar close ho jati hai. Jiss se candle k small real body k sath upper side par aik long wick ya shadow ban jata hai. Ye shadow aik bearish trend ya sell signal ki alamat hoti hai. Trend confirmation ya market main entry karne se pehle aik black candle ya technical indicators ka overbought zone main hona zarori hai, jiss se prices k low hone ka ishara melta hai. Stop loss candle k sab se top side se two pips above set karen, jo mumkina resistance level sabit ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (215).png
Views:	74
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12529126
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information about &quot;Shooting Star Candlestick&quot;

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Shooting Star Candle


    Shooting star candle price chart par uss waqat banta hai, jab bhi prices aik timeframe k dowran bullish ya uptrend jane k baad resistance level ko touch karti hai, lekin candle k ikhtetam par prices wapis bearish ja kar aik small real body banati hai. Ye candle prices k top main bullish trend k dowran banti hai, jiss k upper side par long shadow ya saya hota hai. Jab bhi bulls market ko ooper ki taraf push karte hen, lekin low demand ki waja se jab wo aisa karne main nakam rehte hen, to uss sorat main aik shooting star candle create hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (78).jpeg
Views:	15
Size:	25.0 کلوبائٹ
ID:	12393006

    Candles Formation


    Shooting star candle aik single pattern candle hai, iss waja se ye candle dono color ya pattern main ho sakti hai. Ye candle prices k bullish trend main banne par market k bearish trend reversal ka sabab banti hai. Candle ki tafseel darjazeel hai:

    Click image for larger version

Name:	unnamed (33).jpg
Views:	12
Size:	17.2 کلوبائٹ
ID:	12393007

    Shooting Star Candle: Shooting star candle high prices ya bullish trend main banta hai, lekin bearish trend reversal honne ki waja se ye candle aik bearish candle shumar ki jati hai. Ye candle aik small real body main hoti hai, jiss k upper side par aik long shadow hota hai, jo k real body ka taqreeban dugna banta hai.

    Explanation

    Shooting star candle price chart par low demand banne ki sorat main banti hai, jab bhi prices bullish trend ko mazeed upward side par reject karti hai. Ye candle aik muntakhib karda timeframe main pehle bullish jata hai, jo sabeqa bullish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main assets ki demand main kami hone ki waja se prices wapis bearish move kar jati hai, jiss se ye candle aik small real body k sath close ho jati hai. Candle k upper side par aik lamba shadow ban jata hai. Candle ka lamba saya ya shadow prices k trend reversal ki alamat hoti hai, jo aik new bearish trend ka aghaz karti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_153044.jpg
Views:	1
Size:	69.6 کلوبائٹ
ID:	12393008

    Trading

    Shooting star candle price chart k top ya bullish trend main hone ki waja se aik bearish signal deti hai. Candle k baad next bearish candle ka hona zarori hai, jiss se prices k trend reversal ki confirmation ho jati hai, jab k bearish candle ka shooting star candle k baad downside par bhi close hona chaheye. Trend confirmation indicator se karna ho to RSI, CCI indicators aur stochastic oscillator par value overbought zone main hona chaheye. Lekin agar confirmation candle aik bullish candle banti hai, to market main entry nahi karni chaheye. Shooting star candle par buy ka trade open hoga, jab k Stop Loss candle k sab se upper position ya resistance level se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_153058.jpg
Views:	1
Size:	40.1 کلوبائٹ
ID:	12393005
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Important information about &quot;Shooting Star Candlestick&quot;

      Shooting Star Candlestick


      Shooting star candle forex trading main aik single candle pattern hai, jo k qeematon k higher zone me resistance level par paye jati hai. Ye candle aik bearish trend reversal k leye istemal hoti hai, jo k single candle pattern par mushtamil hota hai. Candle ki aik small real body hoti hai, jiss me qeematon ka open aur close aik dosre k bohut ziada qareeb hote hen. Candle k upper ki taraf aik bari wick ya saya banta hai, jo k real body ka taqreeban dugna ya us se ziada hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (217).png
Views:	20
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12393010

      Pattern ki Pehchan k Rules

      1. Shooting star candle aik single candle pattern hai, jo k high qeematon wale zone ya bullish trend me banti hai.
      2. Candle k lower side par aik small real body hoti hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb hote hen.
      3. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
      4. Candle ka shadow ya saya candle ki real body ka taqreeban dugna ya us se zyada ho sakta hai.
      5. Candle white aur black dono pattern me ho sakti hai, lekin sab se zarori point is ka top prices par banna hai.


      Click image for larger version

Name:	images (165).jpeg
Views:	33
Size:	16.1 کلوبائٹ
ID:	12393012

      Pattern ki Tafseel


      Shooting star candle bearish trend me qeematon ko badalne k leye istemal hone wali aik single candle pattern hai, jis me qeematen confirmation ka baad down falling karna shoro karti hai. Ye candle prices k bottom me banni wali inverted hammer candle se melti julti hai, lekin qeematon k bottom par hone ki waja se ye candle mukhtalif ban jati hai. Candle me qeematen aik small real body banati hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb banta hai, jab k candle k upper aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se size me ziada hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (218).png
Views:	9
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12393011

      Pattern par Trading ka Amal


      Shooting star candle trading k leye tab aik achah signal deti hai, jab bhi qeematen high area ya bullish trend me ho. Candle k baad aik black candle ka banna zarori hai, jis par sell ki trade enter ho sakte hen, jab k white candle shooting star candle ki asarat ko khatam karti hai. Ye candle next black candle par market me entry jab k shadow k top par stop loss ki position hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (164).jpeg
Views:	36
Size:	25.5 کلوبائٹ
ID:	12393009

      اب آن لائن

      Working...
      X