Assalamu Alaikum Dosto!
Three Inside Up Pattern
Three inside up candlestick pattern prices k bottom main ziada selling pressure ki sorat main uss waqat banta hai, jab qeematen apne matloba trading range se ziada lower satah par chali gaye hon. Ye pattern aik strong reversal signal deta hai, jiss se prices apne sabeqa trend ko badalne ka sabab banti hai. Ye pattern market main demand k izafey ki waja se bearish trend ko khatam karta hai, jis se buyers ziada active hona shoro ho jate hen. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle bearish jab k baqi do candles bullish hoti hen. Pattern ki pehli bearish candle aik strong real body wali hoti hai, jo prices ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle small real body wali jab k last candle aik strong bullish candle hoti hai.
Candles Formation
Three inside up candlestick pattern prices k bottom ya lower prices par high demand ki waja se banta hai, jahan par teen candles prices ki trend change ka aik positive signal deta hai. Pattern ki teeno candles real body main banti hai, aur market ki current supply aur demand ki akasi karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Three inside up candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k market main maojood current trend ki akasi karti hai. Ye candle prices ko lower side par push karti hai, jiss main candle ka close price open price se lower side par hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
2. Second Candle: Three inside up candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, jiss se wo prices ko mazeed downward jane se rokti hai. Pattern ki dosri bullish candle market main current bearish trend k leye strong support level peda karti hai.
3. Third Candle: Three inside up candlestick pattern ki teesri candle bhi same dosri candle ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k close k baad top par open ho kar pehli candle se above close hoti hai. Ye candle prices k trend change ki confirmation deti hai, jiss se prices new bullish trend main badal jati hai. Pattern ki teesi candle ka dosri candle ka top par banna aur close price lazmi pehli candle k above hona chaheye.
Explanation
Three inside up candlestick pattern three days candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo bearish market main maojooda trend buyers k control main jane k ishara hota hai. Pattern aghaz main aik bearish movement main hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo prices ko nechay ki taraf push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai aur ye candle pehli bearish candle k real body main open aur close hoti hai. Pattern ki last ya teesri candle aik strong bullish candle hoti hai, jo market main bearish trend ko mukamal khatam karne aur trend change ka aik signal deta hai. Pattern ki teesri candle pehli candle se above close hoti hai, jo k dosri small bullish candle ka top banta hai.
Trading
Three inside up pattern aik bullish signal ka pattern hai, jo bearish trend main buy ka signal deta hai. Buyers market main tab active hote hen, jab unhen pattern k baad aik bullish confirmation candle melti hai. Confirmation candle lazmi real body main honi chaheye aur teesri bullish candle k baad top par close honi chaheye. Ye pattern bullish harami pattern ka aik advance version bai, jo k aik strong pattern tasawar kia jata hai, jiss ki trend confirmation indicator aur oscillators se bhi ki ja sakti hai, jiss par trading k dowran value oversold zone main honi chaheye. Ye pattern bearish confirmation candle se invalid tasawar hota hai, jis par trade entry nahi karni chaheye, jab k pattern ka Stop Loss sab se bottom position ya pehli candle k lower prices se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим