Real Breakout
Jab bhi qeematen kisi support ya resistance levels ko thorti (break) karti hai aur baad me musalsal us semat me chalti rehti hai, to ye market ki real breakout hota hai.
Misal k twar par, agar gold $1800 aur $1810 k darmeyan trade kar raha ho, to yahan par gold ki resistance level $1810 aur support level $1800 hai. Agar gold ki qeematen do ya do se ziada martaba $1800 aur $1810 k level ko touch kar k wapis morti (back) hoti hai, to ye support aur resistance levels gold k qeematon k leye strong breakout levels tasawar hongay. Ab agar gold ki qeematen upward side pe $1810 k level ko breakout karti hai, aur qeematen musalsal bullish hi chalti rehti hai, to ye aik real breakout kehlayega, same situation support level pe bhi hogi.
False Breakout
False breakout us waqat hoti hai, jab bhi qeematen support ya resistance level ko breakout to karti hai, lekin tasalsul k sath us semat ko follow karne ki bajaye wapis reversal hoti hai. Fake breakout ko aam tawar par failed breakout bhi kehte hen.
Misal k tawar par, agar gold ki qeematen $1810 k level ko breakout karke $1812 par chali jati hai, lekin bullish trend ko follow karne ki bajaye qeematen bearish trend me reversal ho jati hai aur $1800 k support level ko bhi breakout karte howe musalsal downward hi chalti rehti hai, to ye aik fake ya failed breakout kehlayega.
Fake ya failed breakout se pata chalta hai k market me qeematon ko support ya resistance levels se upper ya nechay push karne me buyers ya sellers ki dilchaspi nahi rehti. Failed breakout ka hargez matlab ye nahi hai k qeematen thori der baad breakout semat me agay barhna jari nahi rakh sakti.
Breakout k baad Throwbacks
Baaz awqat breakout k baad Throwback hota hai. Throwback us waqat hota hai, jab qeematen support ya resistance ki taraf wapis hojati hai, jo abhi abhi breakout howa hota hai. Aksar kuch traders throwback ki waja se apne trades close kar dete hen, ye samajh k ye aik failed ya fake breakout hai, lekin thowback fake breakout nahi hota. Throwbacks calendar events k trading k waqat ziada hota hai, q k qeematen aik semat pe breakout karne k baad apni ziada hujam ki waja se support ya resistance level ki taraf wapis ati hai.
Throwbacks aksar market me volume me izafay ki waja se hota hai, misal k tawar par, gold qeematen $1810 k resistance level ko breakout karte howe $1815 pe chali jati hai, lekin ziada volume ki waja se qeematen wapis $1811 ya $1810 pe a jati hai, jahan se wo wapis bullish trend me move karna shoro kar deti hai, to ye fake ya failed breakout nahi, bulkeh throwback kehlayega.
Trade on Breakouts
Ziada tar traders breakout pe trading karte hen, wo jab bhi qeematen ko support ya resistance levels ko thorte howe dekhte hen to jaldi hi wo market me entry kar jate hen. Short term traders breakout ki sorat me jaldi market me entre hone ki koshash karte hen, jabb k long term k traders market me real aur fake breakout k baad hi entry karte hen.
Market me fake, throwbacks aur breakout ko jadge karna bohut mushkil kaam hai, market me breakout hone pe kuch waqat tak intezar karna chaheye, jab bhi qeematen apni semat darust kar len,us k baad market me entry karni chaheye. Stop loss ki position lazzmi set karen, qionkeh k is se fake breakout ki sorat me zziada loss se mehfoz raha ja sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим