Forex real and False breakout explaination
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex real and False breakout explaination
    Real Breakout


    Jab bhi qeematen kisi support ya resistance levels ko thorti (break) karti hai aur baad me musalsal us semat me chalti rehti hai, to ye market ki real breakout hota hai.
    Misal k twar par, agar gold $1800 aur $1810 k darmeyan trade kar raha ho, to yahan par gold ki resistance level $1810 aur support level $1800 hai. Agar gold ki qeematen do ya do se ziada martaba $1800 aur $1810 k level ko touch kar k wapis morti (back) hoti hai, to ye support aur resistance levels gold k qeematon k leye strong breakout levels tasawar hongay. Ab agar gold ki qeematen upward side pe $1810 k level ko breakout karti hai, aur qeematen musalsal bullish hi chalti rehti hai, to ye aik real breakout kehlayega, same situation support level pe bhi hogi.

    Click image for larger version

Name:	images (2967).png
Views:	7
Size:	27.7 کلوبائٹ
ID:	12523877

    False Breakout


    False breakout us waqat hoti hai, jab bhi qeematen support ya resistance level ko breakout to karti hai, lekin tasalsul k sath us semat ko follow karne ki bajaye wapis reversal hoti hai. Fake breakout ko aam tawar par failed breakout bhi kehte hen.
    Misal k tawar par, agar gold ki qeematen $1810 k level ko breakout karke $1812 par chali jati hai, lekin bullish trend ko follow karne ki bajaye qeematen bearish trend me reversal ho jati hai aur $1800 k support level ko bhi breakout karte howe musalsal downward hi chalti rehti hai, to ye aik fake ya failed breakout kehlayega.
    Fake ya failed breakout se pata chalta hai k market me qeematon ko support ya resistance levels se upper ya nechay push karne me buyers ya sellers ki dilchaspi nahi rehti. Failed breakout ka hargez matlab ye nahi hai k qeematen thori der baad breakout semat me agay barhna jari nahi rakh sakti.

    Click image for larger version

Name:	images (2965).png
Views:	8
Size:	24.1 کلوبائٹ
ID:	12523878

    Breakout k baad Throwbacks


    Baaz awqat breakout k baad Throwback hota hai. Throwback us waqat hota hai, jab qeematen support ya resistance ki taraf wapis hojati hai, jo abhi abhi breakout howa hota hai. Aksar kuch traders throwback ki waja se apne trades close kar dete hen, ye samajh k ye aik failed ya fake breakout hai, lekin thowback fake breakout nahi hota. Throwbacks calendar events k trading k waqat ziada hota hai, q k qeematen aik semat pe breakout karne k baad apni ziada hujam ki waja se support ya resistance level ki taraf wapis ati hai.
    Throwbacks aksar market me volume me izafay ki waja se hota hai, misal k tawar par, gold qeematen $1810 k resistance level ko breakout karte howe $1815 pe chali jati hai, lekin ziada volume ki waja se qeematen wapis $1811 ya $1810 pe a jati hai, jahan se wo wapis bullish trend me move karna shoro kar deti hai, to ye fake ya failed breakout nahi, bulkeh throwback kehlayega.

    Click image for larger version

Name:	images (2968).png
Views:	1
Size:	13.4 کلوبائٹ
ID:	12523879

    Trade on Breakouts


    Ziada tar traders breakout pe trading karte hen, wo jab bhi qeematen ko support ya resistance levels ko thorte howe dekhte hen to jaldi hi wo market me entry kar jate hen. Short term traders breakout ki sorat me jaldi market me entre hone ki koshash karte hen, jabb k long term k traders market me real aur fake breakout k baad hi entry karte hen.
    Market me fake, throwbacks aur breakout ko jadge karna bohut mushkil kaam hai, market me breakout hone pe kuch waqat tak intezar karna chaheye, jab bhi qeematen apni semat darust kar len,us k baad market me entry karni chaheye. Stop loss ki position lazzmi set karen, qionkeh k is se fake breakout ki sorat me zziada loss se mehfoz raha ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2966).png
Views:	6
Size:	26.5 کلوبائٹ
ID:	12523880
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex real and False breakout explaination

    Explanation.

    Friends baaz oqaat market false Breakout Karti Hai Jiski vajah se bahut Sare traders confuse ho Jaate Hain aur Market Mein entry Le lete hain aur unko Yahi lagta hai ki market Mein Apna friend bana liya hai aur Market ki next moment is trend Mein Hi Hogi lekin aisa hota nahin hai aur Market Kuchh Dekhe Baat Apna trend change kar Leti Hai Jiski vajah se bahut Sare ladiss ko nuksan ho sakta hai isliye market Mein trading karte hue aap ko bahut jyada careful Rahana hoga.

    Click image for larger version

Name:	forex-breakout-setups-2ndskiesforex.png
Views:	13
Size:	20.4 کلوبائٹ
ID:	12388207

    Be Careful of False Break out.

    Friends false Breakout ka pata nahi chalta lekin Jab bad Mein market ki moment change Hoti Hai To vah bahut hi Pareshan Ho Jaate Hain bahut se trade Hai Aise Hote Hain Jo market Mein trade open karne ke bad Apna trend use karte hain lekin Jab market ki movement change hoti hai to uska trend bhi change ho jata hai aur UN traders ko aisa lagta hai ki unhen nuksan ho jaega.

    Click image for larger version

Name:	grade13-false-breakout.png
Views:	8
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12388208

    Way to get Profit in False Break Out.

    Friends fals breakout ek bahut badi mushkil hoti hai jis ki madad se ham bhot zyada loss ka samna karte hain our aksar ye hota hai ke hamare accounts bhi isi ki wajha se wash ho jate hamain forex business main bhot zyada samajhdari se kaam karne ki zaroorat hoti hai our ham un cheezion ke lye tayar rehna chahye jab ham fake signal jo ke hamain market deri hai ham inhian samajh jata hain to ham bhot zyada earn kar sakte hain our achi khasi profit hasil kar sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	Simple-Way-to-Avoid-False-Breakouts_body_Picture_3.png
Views:	17
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12388209

    اب آن لائن

    Working...
    X