Lot Size
Financial market me trading k leye jo bhi position open ki jati hai, wo lot aize ki madad se hi ki jati hai. Lot size ka kam ya ziada hona trading account main maojood balance, leverage, assets (currencies pairs ya commodities) spreads aur margin par munhasir hota hai. Lot size k ziada ur kam hona nafa aur nuqsan par bhi asar andaz hota hai. Lot size forez trading k leye basic main aik hai jiss ka janna har aik trader k leye bohut hi ziada zarori aur aham hai. Lot size ka risk reward ratio, risk management, money management se bar agehra taluq hai, jiss se trading bohut asar andaz hoti hai.
Lot size ki selection sab se pehle account k balance par muhasir hota hai, k agar aik trader k account main balance ziada hoga to wo ziada lots k trades ka ahal hpta hai. Jab k uss k baad account ka leverage ata hai. Leverage se bhi trading lot par asarat hote hen, q k ziada leverage se ziada lot size k trades open ho sakte hen, jab k kam leverage se kam trades open hote hen. Spreads ya commission jin assets ka ziada hota hai, uss par bhi trades k lot size kam open hote hen, jab k kam spreads ya commission wale assets par ziada trades lots open hote hen. Margin ziada hone se lot sizes barh sakte hen, jab k kam hone se lot sizes bhi kam trades hote hen.
Lot sizes nafa aur nuqsan bhi asar andaz hote hen, kion keh ziada lots ya bare lot se trades open karne par uss par munafa ki sorat main achi amount to mel sakti hai lekin loss ki sorat main nuqsan bhi ziada hota hai. Aksar bare lot size se hi jaldi account wash hote hen, yani account ka mukamal safaya ho jata hai. Risk management se lot size ko control main rakha jata hai jiss se trader apne account k mutabiq muhtat tareeqay se lot size ka intekhab karta hai.
Standard Lot Size
Standard lot size aik broker k trading k leye faraham karda sab se ziada mumkina muahede ka size hai. Standard lot size me 100,000 units hote hen. Yani agar EURUSD ka current rate 1.23456 ho to 1 standard lot size k mutabiq 100,000 EUR khareedne k leye 123456 USD ki zarorat paregi. Standard lot size ko mazeed chote sizes me taqseem kia jata hai, jo k mini, micro aur nano lot size ban jate hen. Forex trading me sab se ziada 100 standard lot size tak hi aik trade open ki ja sakti hai.
Maximum lot aik transaction k leye lots ki maximum tadad hai,
Misal k tawar par, 5 standard lots 5 × 10 = 50 oil barrel jab k 5 mini lot 5 × 1 = 5 oil barrel hongay.
Mini Lot Size
Aik mini lot (minilot) standard lot k 0.1 ya 10,000 base currency unit hote hen. Mini lot size standard lot k 10% k barabar hota hai, jis me traders 10,000 base currency units ki trading karte hen, is waja se is k leye kam volume ki zarorat hoti hai.
Micro Lot Size
Aik micro lot size (microlot) me standard lot k 0.01 ya 1,000 base currency units hote hen. Micro lot size mini lot size ka 10% jab k standard lot size ka 1% banta hai. Is me trader 1,000 base currency units me trading kar sakta hai,is waja se is k leye mini lot se bhi kam volum ki zarorat hoti hai.
Nano Lot Size
Aik nano lot size (nanolot) me standard lot k 0.001 ya 100 base currency units hote hen. Nano lot size micro lot size ka 10%, mini lot size ka 1% jab k standard lot size ka 0.1% banta hai. Ye sab se small lot size hai, is waja se is k leye sab se ziada kam sarmaye ki zarorat hoti hai. Nano lot size me 100 base currency units me trade ki ja sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим