Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Belt-Hold Pattern
Bullish Belt-Hold pattern two days candle par mushtamil hai aik bullish trend reversal pattern hai, jisbko aam tawar par single pattern bhi tasawar kia jata hai, q k pattern ki pehlee candle aik bearish trend ki strong real body wali long black ya bearish candle hotti hai. Pattern ki dosree candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k open pehlee candle k below gap main hotti hai, lekin open bearish candle k real body main hotti hai. Bullish candle aik Marubozu ya Bozu candle hotti hai, q k is k down side par koi bhi shadow ya wock nahi hotti, jab k upward side par shafow acceptable hai.
Candles Formation
Bullish Belt-Hold pattern ko kuch trader single pattern jab k ziadda tar trader double candles pattern tasawar kartte hen. Pattern ki pehlee candle aik strong bearish jab k fosree candle aik strong bullish candle hotti hai. Jis ki formation darjazzel tarah se hotti hai;
1. First Candle: Bullish Belt-Hold pattern ki pehlee candle aik black ya red color main bearish candle hotti hai, jo k previous bearish trend ki taqqat dekhatti hai. Ye candle aik normal size main bantti hai.
2. Second Candle: Bullish Belt-Hold pattern ki dosree candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k pehlee candle se below gap main open hotti hai, aur close pehlee candle k midpoint se above hotti hai. Ye candle aik Bozu candle hotti hai, jis ki down side par koi wick nahi hotti hai.
Explaination
Bullish Belt-Hold pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom main bantta hai. Ye pattern two day candles par mushtamil hota hai, jis main pehlee candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k market main bearish trend ki mazbotti battati hai. Pattern ki dosree candle aik strong bozu candle hotti hai, jo k pehlee candle se below gap main open hotti hai. Dosree candle color main white/green ya bullish candle hotti hai, jo k pehlee candle k midpoint se above close hotti hai. Bozu candle ki up side par wick to ho saktti hai lekin down side par koi wick nahi honni chaheye.
Bullish Belt-Hold pattern shape main "Bullish Piercing Line Pattern" aur "Bullish Meeting Line Pattern" se mushabehatt rakhtti hai. Lekin meeting line pattern main dosree bullish candle pehlee candle k closing price par in-line close hotti hai, jab k piercing line pattern main dosree bullish candle k down side par bhi wick ho saktti hai. Bullish Piercing line ki shape Bullish Belt-Hold pattern se ziadda meltti jultti hai. Ye pattern aksar market main waqfa jaise weekend ya hollyday honne ki wajja se bannta hai, jo k market main bulls power dekhatti hai.
Trading
Bullish Belt-Hold pattern market main bearish trend k baad bullish ki wapasi aur buyers ka market par control ki information detti hai. Ye pattern ziadda tar markets main long break ya news events ki wajja se bantta hai. Pattern ki dosree bullish candle gap main open honne k bawajood pehlee candle k midpoint se above bhi close hotti hai aur dosrra is ka lower side par koi wick bhi nahi hotta hai, jis se market main buyers k taqqat ka andazza hotta hai.
Market main entry karnne se pehle pattern ki position lazzmi note karen, q k aggar prices lower area main na ho to ye pattern single pattern bhi tasawar hotta hai. Trend confirmation k leye kisi relaible indicator ya teesree bullish candle k baad hi buy k trades lagayen. Stop Loss pattern k sab se lower position yanni bullish candle k opening price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим