Forex trading Analysis
Forex trading me analysis karna nehayat zarori hai. Forex trading me aik to hum analysis ki madad se kisi currency pair ya commodity ki mustaqbil ki price predict kar sakte aur dosra us se pora benifits hasil kar sakte hen. Forex trading me technical analysis bohut mufeed hai. Currency pairs ki ziada tar movement technical analysis k zarye se hi hoti hai. Fundamental analysis bhi currency pairs pe kuch had tak asar andaz hote hen lekin fundamental analysis ka ziada tar asar commodities pe ziada hota hai.
Currency pairs ki trading k leye technical analysis karna bohut ziada zarori hai aur technical analysis k leye technical tools ka istemal bohut zyada aham hai. Technical tools me hamen aam tawar par candle sticks chart pattern ya candle sticks pattern aur technical indicators ki zarorat parti hai. Technical analysis me technical tools ka istemal kese kia jata hai wo darjazel hai;
Technical analysis Candle sticks chart pattern
Forex trading me traders mukhtalif qisam k candle sticks chart pattern ya candle sticks pattern ka istemal karte howe kisi bhi currency pair ki price predict karte hen. Forex trading me currency pairs ki ye price prediction candle sticks pattern ya ziada candles ko mela kar jo chart patterns bante hen un se predict karte hen.
Forex trading me hum mukhtalif candle sticks; Doji candle stick, bulish ya bearish engulfing, pricing line, evening star candle stick, hammer candle stick, inverse hammer candle stick waghera se kisi bhi currency ki trend reverse ya continuation k bare me malom kia ja sakta hai. Isi tarah se ziada candles ko mela kar jo candle sticks chart pattern bante hen un se bhi kisi pair ki trend reversal ya trend continuation k bare me malom kia ja sakta hai. Forex trading me traders ki taraf se istemal hone wale kuch aam se chart pattern darja zel hai; Three Line Strike, Two Black Gapping, Three Black Crows, Abandoned Baby etc.
Technical analysis me technical tools ka istemal
Forex trading me aam tawar pe indicator ka istemal expert trader hi karte hen, q k indicator k istemal knowledge ka hona zarori hota hai. Forex trading me jitna humen ziada indicator ka istemal ka pata hoga to hum apne trading ko us hisab se behtar bhi bana sakte hen. Forex trading me humen jitna ho saken ziada se ziada indicator k bare me learn katna chaheye.
Forex trading me jab bhi hum by default koi MT4 account open karte hen to chart pattern me humen aik RSI lekha howa nazar ata hai. Ye RSI aik Relative Strength index indicator hai jo humen 30 aur 70 k value k darmeyan prices batati hai. Jab bhi market me kisi currency pair ya commodity ki price 30 aur 70 k darmeyan hoti hai to ye normal movement hoti ahi jab bhi koi price 30 se nechay ko ati hai to ye over sold aur agar ye price 70 se oper ho jaye to ye over bought ban jata hai. Isis tarah se mukhtalif indicators ka istemal mukhtalif tareeqay se hota hai. Forex trading me humen technical analysis k leye technical indicators ka istemal lazmi karna chaheye, q k ye hamare trading ko perfect banati hai. Forex trading me to wese bohut sare indicators ka istemal hota hai. Lekin forex trading me aam tawar aur sab se ziada istemal hone wale indicator darjazel hai; Relative strength indicator, stochastic indicator, Bollinger bands, ichimoku clude, moving average conversng diverging indicator, commodities channel index indicator aur pivot point etc.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим