Stop loss aur take profit 2 Different options hain jin ka use account ko secure rakhne ke liye kiya jata hai.Stop loss aur take profit ko set karne ka behtareen waqt order open karte wakat karna hai Stop loss aap ki input ki gayi wo amount hai jo matket ke neche girne par aap ki trade order ko automatically band^/close kar de gi yeni agar market aap ki khueahish ke Neeche jane lage to aap ka lagaya stop loss aap ki trade ko ziyada nuksan main jane nahi dega aur wahen pat close kar degi.Esi tarah take profit ek option hai Ju trading ke darmiyan bohut use kiya jata hai es se murad wo darj ki jane wali amount hai ju trader trade ke open order karne par lagata hai aur jaise naam se take profut se zaaher hai keh ye profit ko lene ke liye set kiya jata hai jab trade aap ke mutalika ptofit ke opar pohunche gi to ye aap ki trade ko profit ma close kar de gi ..Ye automatically set kiye jane wale options hain es main aap ko online rehne ki zarorat nahi huti aur na he aap ko manual trade close karni hugi balkeh mt4 system aap ki trade ko automatically close kar degi jis se aap ko directly trade ma profit huga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим