What is equity in trading?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is equity in trading?
    Slam!
    Umeed krta hu ap khriyat se hon gy. Forum pr ziada se ziada mehnat kr k bht kuch seekh rhy hon gy. Achi achi post kr k ziada se ziada bonus hasil krny k liye struggle kr rhy hon gy. Dosto trading k ander account ma equity ka option mjood hta h. Plz seniors members isy details k sath explain kr den.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is equity in trading?

    Ji han Sab Ko Yahan per equity ko use karna chahie Jab Ham Yahan per apni equity use Karenge Apne time per banaa kam Karenge To Ham Kamyab hote hain SO isiliye Yahan per apni mehnat Se Apna Kam Karen aur Apna bonus level improve Karen bonus improve Hoga To Hamen definitely kamyabi Milegi aur ham Kamyab Ho jaenge
    • #3 Collapse

      Re: What is equity in trading?

      Forex mein jub aap trading ker rahay hotay hain tou profit ki surat mein aap ka balance zayada ho raha hota hai aur loss honay ki surat mein aap ka balance kam ho raha hota hai aur yeh jo balance ka kam ya zayada hona hota hai iss ko hi equity kehtay hain jub kay aap ka balance alag sae show ho raha hota hai
      • #4 Collapse

        Re: What is equity in trading?

        Dear forex men equate usy kehty hen jo profit ya loss nikal kay rakam aa rahe hoti hay wo equity kehlata hay hamen equity ka khas khyal rakhna ho ga jab he ham kamyab ho saken gay equity he khatam ho jaye to account bhi khatm ho Jat hay to trade lag ny say phly phly lot ka intikhab achi tar sy karna chaye takay loss ki sorat men equity bhot kam na ho kay account he wash ho jaye so hamen apnay account ko achI tar say management kay sath chala na hota hay jab he hamen kamyabi hasil hoti hay.
        • #5 Collapse

          Re: What is equity in trading?

          Dear brother forex trading men trading k daoran jab trade start kartay hen tu pahlay hamara total balance hota hey lekin trade open honay k bahd jab trade loss men ya profit men jati hey tu balance kam ya ziyada ho raha hota hey tu yeh hi hamari equity hoti hey aur yeh trading account men show ho jati hey
          • #6 Collapse

            Re: What is equity in trading?

            Forex trading mein aap Kitni investment karte hain use Ham capital Kahate Hain Jab aap Koi trade open Karte Hain To Jo amount used trade ko open karne ke liye require hoti hai use margin amount Kahate Hain aur jo aapka profit ya loss hota hai vah Jab aapke capital se Less Kiya jata hai aur jo margin amount Hoti Hai vah be less ki Jaati Hai Jo remaining amount hoti hai use Ham equity Kahate Hain Itni Jyada aapki equity Hoti Hai utna secure reh kar aap acchi trading kar sakte hain
            • #7 Collapse

              Re: What is equity in trading?

              Equity is amount remaining after treading..in simple words yahn amount wo hoti hai Jo profit yan loss k sorat mein bach jata hai jisko hum withdraw kr lety hein
              Humeri mehnat or achi trikes humein kamyab or achi earning dety hein shukriya
              • #8 Collapse

                Re: What is equity in trading?

                GRT near aap bilkul sahi kah rahe hain a quality hamare liye bahut hi important hai Pakistan ful h business mein Kamyab hone ke liye hamen apna tips Jani account ki equality ko impress karna chahie aur Dil laga kar mehnat se kam Karke best bonus is improve karna chahie tha ki hamen kamyabi possible ho sake
                • #9 Collapse

                  Re: What is equity in trading?

                  My dear friend metatrader 4 Mein Jab aap trading kar rahe Hote Ho ho vahan per aapka sabse pahle balance ho raha Hota Hai Uske bad Aap Jo trading kar rahe ho to aapko jo loss ho raha hota hai ya profit ho rahi hoti hai hai to vah niche equity Ki Surat Mein Show ho rahi hoti hai ya nahin Aap Ka Jo balance chal raha hota hai vah equity kahlata hai vah yah show kar rahe hote hain kya aap ka balance Piche Itna raha hai Jaega equity Ki Surat mein thanks
                  • #10 Collapse

                    Re: What is equity in trading?

                    Real forex market Mein equity bahut jyada best hoti hai Market ki condition ko samajhne ke liye Humko is market mein time Lagana padta hai Taki Humko is market Mein kam karne ka experience Hasil ho jaaye Jab Ham is market Mein Apne knowledge or experience ko use karti hui analysis Karte Hain To is market Mein acchi trading Karke Apne account par profit Hasil kar sakte hain market Mein Apne account per trading plan banaa kar kam karna hota hai Hamare trading plane ke andar indicator Shamil Hote Hain jinko dekar Ham is market Mein trade Lagate Hain indicator ki setting Humko Apne a timeframe ke hisab se elect Karni hoti hai hai agar Ham is market Mein Koi Bhi indicator use karte hain To Ham ko apni trade ke sath stop loss use karna Hota Hai hai Taki Agar market Hamare opposite movement Karen to Humko Itna Jyada nuksan Na Ho aur ham Apne account per Thoda Sa nuksan bardasht Kar Ke trade close kar sakte Humko is market Mein discipline ke sath kam karna Hota Hai Humko Apne account ki equity maintain rakhni hoti hai.
                    • #11 Collapse

                      Dear ap jab trading karty han or koi trade open nahi hoti hai tu ap ka balance or equity same to same rehti hai. or jab ap koi trade open kar laity hain or ap ka ager capital 100 usd or ap ki jo open trade hai woh ap ko 10 dollar profit dy rahi hai tu ap ki equity 110 dollar show hogi or jab ap ko loss ho raha hai trade mai or chal rahi hai trade tu ap ko equity 90 dollar show ho rahi hoti hai. es tarha yeh sub tools seekh kay apni trading mai acha faida hasil kar skaty hain.
                      • #12 Collapse

                        Equity in Trading


                        Introduction:

                        Trading ek financial market activity hai jisme investors financial instruments, jaise ke stocks, currencies, commodities, ya options, ko khareedte hain ya bechte hain. Equity, ya asalat, ek trading portfolio ka ek ahem hissa hai jo investor ko uski overall financial health ka andaza deta hai. Is post mein, hum dekheinge ke trading mein equity kya hai aur iska kya mahatva hai.







                        Equity Ki Tafseelat:

                        Equity ka asal matlab hota hai "hisse" ya "malikana haq." Trading context mein, equity ek investor ki overall financial position ko represent karta hai. Yeh uski investments, profits, losses, aur retained earnings ko shamil karta hai. Equity ka calculation ye formula ke zariye hota hai:

                        Equity = Total Asset - Total Liabilities

                        Yahan, total assets un sabhi maal o daulat ko represent karte hain jo investor ke paas hai, jabki total liabilities uske dues aur obligations ko darust taur par darust taur par represent karte hain.

                        Equity Aur Balance Mein Farq:

                        Equity aur balance do alag concepts hain. Balance ek specific point par aapke account mein maujood maal o daulat ka record rakhta hai. Jabki equity ek dynamic concept hai jo overall financial position ko darust taur par darust taur par reflect karta hai. Equity mein current market values, retained earnings, aur unrealized profits ya losses shamil ho sakte hain.

                        Equity Ka Role:

                        Equity ka role trading portfolio ko assess karne mein khaas hota hai. Jab aap apne investments ko khareedte hain, to un investments ki market value aapki equity ko directly influence karte hain. Agar aapke investments mein profit hota hai, to aapki equity badhti hai, lekin agar loss hota hai, to equity ghategi.





                        Risk Management Mein Equity Ka Istemal:

                        Equity ka istemal risk management mein bhi hota hai. Agar aap apne trading account ki equity ko monitor karte hain, to aapko ye pata chalta hai ke aap kitna risk le sakte hain. Aap apne risk tolerance ke hisab se apne positions ko adjust kar sakte hain aur apne portfolio ko protect kar sakte hain.

                        Equity Growth Aur Losses

                        Equity growth trading mein ek crucial aspect hai. Jab aap apne investments mein consistent profits earn karte hain, to aapki equity badhti hai, jisse aapko future mein bhi trading ke liye zyada flexibility milti hai. Lekin, agar aap apne investments mein losses face karte hain, to aapki equity kam hoti hai, jo long-term financial health ko bhi asar daal sakta hai.

                        Equity Aur Leverage Ka Taalluq:

                        Leverage ka istemal trading mein common hai, lekin yeh risky bhi ho sakta hai. Leverage ka use karke aap apne trading position ko badha sakte hain, lekin iske saath hi risk bhi badh jata hai. Equity ka sahi se management kiya jaana leverage ke potential nuksan se bachne mein madad karta hai.

                        Conclusion:

                        Equity trading mein ek mazboot aur essential concept hai jo investor ko apni financial health ko assess karne mein madad karta hai. Iske through, traders apne investments ko monitor karke apne risk tolerance ke hisab se decisions le sakte hain. Equity growth ke liye prudent strategies banane aur losses ko mitigate karne mein help milti hai. Har investor ko chahiye ke wo apne trading portfolio ki equity ko regular basis par track karein taki wo market ke dynamics ko samajh sakein aur apne trading decisions ko improve kar sakein.
                        • #13 Collapse

                          What is Equity in Trading?
                          Roman Urdu Explanation
                          Equity trading mein "equity" se muraad hoti hai kisi company ke shares ya stocks. Yeh shares wo hissa hota hai jo aap khareedte hain aur jo aapko company mein ownership ka hissa deta hai.

                          Ownership Stake.

                          Jab aap kisi company ke shares khareedte hain, to aap us company mein ownership ka hissa ban jaate hain. Yeh ownership aapko company ke profits mein hissa daar banati hai.

                          Shareholder Rights
                          Ek shareholder ke taur par aapko kuch huqooq hasil hote hain. Yeh huqooq aapko voting rights dete hain aur kabhi kabhi aapko dividends bhi milte hain agar company profit kamaati hai.

                          Market Value
                          Equity ki market value waqt ke sath badalti rehti hai. Yeh value stock market mein shares ke demand aur supply par depend karti hai. Agar company acchi perform karti hai, to shares ki value barh jaati hai, aur agar performance achi nahi hoti, to value kam ho sakti hai.

                          Risk and Return
                          Equity trading mein risk aur return dono shamil hain. High returns ka matlab yeh nahi ke hamesha profit hi hoga; kabhi kabhi loss bhi ho sakta hai. Issi liye trading karte waqt hamesha research aur analysis zaroori hota hai.

                          Conclusion
                          Equity trading ek popular method hai investments ka jahan aap company ke shares khareed kar usmein ownership lete hain. Yeh process aapko profit bhi de sakta hai magar usmein risk bhi shamil hota hai.


                          • #14 Collapse

                            **Trading Mein Equity Kya Hai?**
                            Trading aur investing ki duniya mein "equity" ek fundamental concept hai jo apke financial health aur trading decisions ko samajhne mein madad karta hai. Equity ka basic matlab hai ownership stake ya financial interest, lekin trading context mein isse kuch specific aspects se bhi samjha ja sakta hai. Aaiye, equity ke concept ko detail mein explore karte hain aur dekhtay hain ke yeh trading mein kis tarah se kaam aata hai.

                            **Equity Ka Basic Matlab:**

                            Equity ka basic matlab hota hai ownership ya apna hissa kisi asset mein. Agar aap ek company ke shares ko own karte hain, to aap us company mein ek certain percentage ke owner hain. Trading mein, equity ka matlab hota hai aapka total capital jo trading account mein available hota hai.

                            **Trading Mein Equity Ka Role:**

                            1. **Account Balance:**
                            - **Definition:** Trading account ki equity wo amount hoti hai jo aapke account mein available funds ko represent karti hai. Yeh figure aapke deposited capital aur unrealized profits/losses ko include karta hai.
                            - **Calculation:** Equity ko calculate karne ka formula hai: Equity = Account Balance + Unrealized Profits - Unrealized Losses. Is calculation se aapko apne total trading capital ka idea milta hai.

                            2. **Margin Trading:**
                            - **Leverage:** Margin trading mein equity ka role kaafi significant hota hai. Jab aap leverage use karte hain, to aap apni equity ko as a margin use karte hain, jo aapko larger positions open karne ki suvidha deta hai.
                            - **Risk Management:** Aapki equity margin requirements ko meet karne ke liye zaroori hoti hai. Agar equity kam hoti hai, to aapko margin calls ka samna karna pad sakta hai, jo additional funds ki demand karti hai.

                            3. **Risk Assessment:**
                            - **Exposure:** Trading ki exposure ko assess karne ke liye equity ko monitor karna zaroori hai. High leverage aur excessive trading se equity ka substantial erosion ho sakta hai, jo risk management ka ek important aspect hai.
                            - **Drawdowns:** Equity ki monitoring se aap apni trading strategy ke effectiveness ko measure kar sakte hain. Agar equity mein significant drawdowns hoti hain, to yeh indicate karta hai ke trading strategy ya risk management practices ko review karna zaroori hai.

                            4. **Performance Evaluation:**
                            - **Growth:** Equity growth ko track karke aap apne trading performance ko evaluate kar sakte hain. Consistent equity growth positive trading performance ka indication hai, jabke equity loss negative performance ko highlight karta hai.
                            - **Adjustments:** Trading strategy aur risk management practices ko equity ke performance ke base par adjust kiya ja sakta hai, taake better results aur sustainable trading outcomes achieve kiye ja sakein.

                            **Conclusion:**

                            Trading mein equity ek crucial concept hai jo aapke trading account ki health aur performance ko define karta hai. Yeh aapke available funds, margin requirements, aur overall risk management ka core component hota hai. Equity ko samajhna aur effectively manage karna successful trading ke liye zaroori hai. Regularly apni equity ko monitor karke, aap apne trading strategy ko optimize kar sakte hain aur financial stability ko ensure kar sakte hain.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Equity trading mein "equity" ka matlab hota hai kisi company ke shares ya stocks ki ownership. Jab koi shaks kisi company ke shares khareedta hai, to wo us company ka ek hissa-daar ban jata hai. Is ownership ki value ko equity kehte hain. Shares khareedne ka matlab hota hai ke aap ko us company ke profits ka hissa mil sakta hai, lekin agar company nuqsan uthati hai to aap ki investment bhi risk mein hoti hai.
                              Equity trading mein, aap stock market mein shares khareed aur bech sakte hain. Stock market aik marketplace hoti hai jahan log aur organizations shares ka lein-dein karte hain. Yeh trading do tarah se hoti hai: ya to aap kisi dusre trader se shares khareedte hain ya aap initial public offering (IPO) ke zariye kisi company ke naye shares khareedte hain. Har din share prices change hoti rehti hain demand aur supply ke hisaab se. Agar demand zyada hai to prices barhti hain, aur agar supply zyada ho jaye to prices girti hain.

                              Equity mein invest karne ka ek bara faida yeh hai ke agar aap ne achi company ke shares khareed liye to waqt ke sath sath unki value barh sakti hai. Is tarah se aap capital gain kama sakte hain jab aap apne shares higher price par bechen. Is ke ilawa, agar company profit kama rahi ho to wo apne shareholders ko dividend bhi de sakti hai, jo ek tarah ka bonus hota hai. Lekin hamesha yeh yad rakhein ke equity investments risky hoti hain, aur company ke nuqsan ya stock market ke downturns ka asar aap ke shares ki value par par sakta hai.

                              Equity trading mein success ke liye research aur analysis bohat zaroori hota hai. Fundamental analysis kaam mein liya jata hai company ke financial statements, industry trends aur economic conditions ko dekhne ke liye, taake aap ko andaza ho sake ke kis company mein invest karna behtar hoga. Doosra tareeqa technical analysis ka hota hai, jisme traders price charts aur past trends ko dekh kar future price movements ka andaza lagate hain.

                              Equity mein leverage trading bhi hoti hai, jisme aap apni actual investment se zyada paisa use kar ke shares khareed sakte hain. Iska faida yeh hota hai ke agar prices barh jaayein to aap ko zyada profit hota hai, lekin nuksan ka risk bhi barh jata hai, kyunke aap ko apni borrowed capital ko interest ke sath wapis karna hota hai. Leverage risky hota hai aur isko sirf experienced traders ke liye recommend kiya jata hai.

                              Risk ko control karne ke liye traders stop-loss orders ka istemal karte hain, jisme aap ek specific price set karte hain jahan par aap ke shares automatically bech diye jaate hain agar price wahan tak gir jaye. Is tarah se aap apne nuksan ko limit kar sakte hain. Iske ilawa, diversification ka concept bhi bohat important hota hai, yani aap apne paisay ko different companies ke shares mein invest karte hain taake agar ek sector ya company nuqsan mein jaaye to doosre sector se aap ko fayda ho sake.

                              Equity trading mein patience aur discipline ki bohat zaroorat hoti hai. Short-term market fluctuations se ghubrane ki zarurat nahi hoti, lekin apne long-term goals ko samajhna aur uske hisaab se strategy banana zaroori hota hai. Achi equity investment se aap ko long-term mein significant returns mil sakte hain, lekin market ki unpredictable nature ko samajhna aur uske liye tayar rehna zaroori hota hai

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X