Forex trading mai traders ko trading terminal pay bohat say options available hotay hain. Jiss mai aisay bohat say tools bhi hotay hain jo traders kay account ko safety daitay hain aur traders ki earnings mai izafa kertay hain ya kernay mai kaam atey hain. Stop loss bhi aik aisa he tool hai jiss kay zariye traders apnay account ko safe ker saktay hain. Stop loss laganay kay liye sub say best time woh hota hai jab kisi pair ya commodity mai movement ka confirm na ho raha ho. Aur traders chance laina chahtay ho. Iss liye traders ko stop loss ko use ker laina chaiye. Stop loss say traders ko yeh pata hota hai kay Agar trade profit nai gai to achi earnings ho jaengi laikin Agar trade loss mai chali bhi gai to aik settled stop loss hit honay say loss bhi control mai he hoga. Iss tarah stop loss ka use traders ko kisi bhi barey nuqsaan say bacha laita hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим