Market men Gold ki movement !!! Jaiza

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market men Gold ki movement !!! Jaiza
    Dear Forex friends, Gold ki Movement zeada hone ki aek Waja to yeh bhi ha keh Dunya men Bari tadad men Rich Persons ko apna Sarmaya Mahfooz karne ka sab se Behtreen aor Baitemad Zariyyah Gold lagta ha aor yon Ammli tor par currency ke badley men Gold Khareed kar Dolat ko mahfooz kartey han Keun keh aap Tasawwar karren keh Gold ka Stock 100 saal baad bhi zarorat parney par bechney keliay Uss dor men ahmiyyat ke Mutabiq Farokht (sell) ho ga Lakin ittney hee Period ke baad currency woh USD ho ya koey bhi aap yaqeen se nahen kah saktey aaj key zakheera shudda 200 $ ho sakta ha zarorat parney par bechney ki soorat men 10 $ ke brabar Result den keun keh kissi bhi Mulk ya Currency ke halat men inqelaab (tabdeeli) aa sakti ha lakin gold ki ahmiyyat har dor aor har ilaqey men Yaqeeni ha lehaza Gold hamesha purkashish aor ahmiyyat ka hamil raha ha insani muashrey men aor yahee cheez iss ko Forex men bhi Ahmiyyat dilati ha aor Big Traders iss ki Trade men Dilchaspi letey han to Movement men izafa hota ha jo Professionals Traders keliay jab jaldi barey (big)Nataeg hasil karna chahtey ha trade par to woh iss ki trades lagatey han jo iss ki movement men izafey ka baes banti ha aor trade men zeada honey ki aek bari aor Ahm Waja yeh bhi ha keh yeh Yaqeeni tor par movement men Dollar ke Mukhalif (against) ha yani Dollar Up ho ga to Gold Down aor Dollar down ho ga to gold yaqeeni tor par Up lehaza yeh pehlo Gold Analysis ko bhi asan banata ha tajarba kar traders keliay to yon bhi iss ka Len Den zeada hota ha Baqee iss ke len den men izafey ki Ahm waja yeh woh Product samangh len jiss Mang (khappat) porey insani muashrey men yaksan aek jesi ha mukhtalif Mazahib aor Rawayat ke hamill dunya ke ilaqon men iss ka har koey ysksan khareedari ka shoqeen ha baqee kissi product ki mang dunya ke har ilaqey men aek jesy nahen kahen bahut zeada to kahen billkull Nahen. Ap ka kia knowledge ha iss ke mutaliq? Thanks
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Market men Gold ki movement !!! Jaiza

    Dear Forex members agar aap Forex trading kar rahe hain to aapane acchi tarike se aaj dekh liya hoga ki gold Ne Kis Tarah moment ki hai Forex Mein trading bahut hi Mushkil kam hai aur Market ky trend ka andaaza Lagana bhi bahut hi jyada Mushkil Hai Kyunki expert logi market ke trend ka acche tarike se andaza Laga sakte hain aaj to gold ki market ne Kamal hi kar dikhaya Jin Logon ki analysis acchi the unhone profit kamaya Hoga Kyunki Aaj gold ki bahut loose movement the aur bahut hi fast movement ki hai aur Jis Kisi Ne Aaj profit kamAana Tha bahut hi acchi tarike se kamaliyaJaisa ki aap log Jante Hain Ki gold bhi Doller Ky against chalta hai agar dollar ki currency jyada ho jaaye to gold ke currency low Ho Jaati Hai Aur Agar gold ki currency high Ho Jaaye to dollar ke currency low Ho Jaati Hai Aaj ISI Tarah dollar bahut jyada Upar chala gaya tha Jiski vajah se gold ki currency bahut jyada down ho gai Main ny to Jab trade Lagai Thode Se profit main close kar de ke Kahin gold Wapas move kr Jayega Lekin Gold apni direction Mein move Karta Gaya aur bahut Dur Tak is ki currency down ho gai
    Today's gold movement
    Click image for larger version

Name:	IMG_20200921_232730.jpg
Views:	1
Size:	122.1 کلوبائٹ
ID:	12331277
    Gold ki ahmiyat ka andaza to aaj aap Logon Ko acchi tarike se hoa hoga Kyunki Jin Logon Ne is trade ko miss kar diya hai vah Jarur pachta Rahe Honge Kyunki Aaj hi Logon ke profit aur loss ka din tha aaj kisi ny profit kamaliya or bahut hi jyada kamaliya aur Jisko loss Ho Gaya bahut hi jyada ho gaya hoga lekin Jin Logon ke pass knowledge or experience tha unho ny market ko acche tarike se samajh liya aur profit Kama lia aap apne knowledge mein izaafa karen aur loss se avoid Karen
    • #3 Collapse

      Re: Market men Gold ki movement !!! Jaiza

      Aslam o Alakum
      Dear forex members gold pairs jab movment karta hai to is ki movement kisi bhi piar ke muqabele main bhot zyada hoti hain our is main bhot zyada logon ka faida our nuqsan hota hai kyun ke agar kisi ke account ke aginst market jati hain to un ka account kisi bhi sorat main bach nhi pata lekin agar esi sorat main ap ka trade movement ke mutabiq ho to ap ko bapanah profit hoti hai jis ka ap ko bhot zyada faida hota hai our dear members jo ke kal ki movement thi ye bhot hi zyada thi is ne har trade ko sochne par majboor kar dia hai our gold ka trend change howa hai our ye sell bhot teezi se kar rha hai esi sorat main agar kisi ne trade open nhi kia hota to woh is ka bharpur faida utha sakta hai lekin agar kisi ne buy kia hoga to us ka yaqini account wash howa hoga hamain gold par trade karte howe isi lye markte ki movement par nazar jamane ki zrorat hoti hai our agar ham thori c bhi nazar is ki movment se hatain ge to ho sakta hai ke hamain bada loss uthana par jai

      DDear members agar dekha jai to gold ne bhot zyada pehly 5 6 month se bhot buy kia tha our 1 month se ye itna zyada buy nhi kar rha tha lekin phir bhi ye lagbagh styble rha hai jis ki wajha ye thi ke market ne trend change karna tha yad rakhain jab bhi market ka trend change hona ho yeni agar sell ka trend ho our buy par ana ho our agar buy ka trend ho our sell karna hoto market styble ho jati hain is tarhan ki gold ki situation main trade lagane se bikul bachne ki koshish karni chahye kyun ke stable market bhot zyada khatarnak hoti hai jo hamain profit bhi de sakti hai our loss bhi our jis tarhan se market ne sell ka start bhot strongly start kia hai us se ye pata chalta hai ke ye trend kuch dinon tak isi tarhan ki move karen ga kyun ke agar daily canlde yeni one day time frame ko dekha jai to market ap ko neche ati hoi tezi se dekhai de gi.
      • #4 Collapse

        Re: Market men Gold ki movement !!! Jaiza

        Dosto forex market me wese to bht se trade pairs hai jin me kuch normal hai aor kuch bht hi xiada risky hai to hame chahiey keh agar ham new comer hai to risky pair se hat kar normal pairs par trade kare taa keh hamara expereince barh sake jo keh friends hame kamiaabi detaa hai woh expereince hai agar dosto ham acha expereince hasil ksr lete hsi to kamiaabi hamarey liey koi mushkil baat nahi friends forex ko agar ap samjhdaari ke saath take kare ge to ap bht acha munafa kamaa sakte hai bas yehi wajah hainkeh ham mehnat se bonus to earn kar lete hai magar friends itna focus expereince par nahi dete jo keh bht important bhai me ap ko advice karoo gaa as a senior keh ap first of all focus on learning then you succeed easily .
        • #5 Collapse

          Re: Market men Gold ki movement !!! Jaiza

          asslam o alaikum

          kia hal hen dosto gold ke pair pe trade krne se pehel apko kafi baar sochna chae q ke ye ek risky pair hy es men apko kafi sari chezon ko mad e nazar rakhna parta hy.
          Gold ups and down:
          Gold ki ups and down movement bari tez hy apko es pair par trade krne se pehle lazmi sochna chae wagrana apko loss ke chances ziada hujange.gold jab bhi apni movment dikhata hy to wo aam routine se nh rukta wo ya to complete up chala jata hy ya complete down ajata hy es leay ap es pair par soch kr trade lagaen q ke yahan ya to fada huga huga ekdam hi ya nuksan.
          kuch dino se dekha gia hy ke gold ke mivement kafi ajeeb huchki hy markeet analysis krne wale bhi sahi nh kr rhe he ab ye ek risky pair ban chuka hy .
          Gold is a Risky currency pair now adays:
          ajkaal ki markeet men gold ko risky pair hi karaar dia jarha hy .q ke gold ki maovement gher yakeeni huchuki hy .gold kabhi jaldi se oper move kr rha hy aur kabhi jaldi se neche move kr rha hy apko chhae ke gold par bilkul bhi trade nh lene chae ap lazmi taor par jab es baat ko smj chuke hunge to ap ko yakeen ajaega k gold wakae ek risky pair hy.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Market men Gold ki movement !!! Jaiza

            market mein trading k liye bohat sary pairs maujod hain lekin jo sab se main pairs hain wo curency pairs aur commodities hain currecny pairs mein hum currency k related tamam tar tradings kerty hain aur ye bohat he aasan hoti hai is ko newly join traders bhi ker sakty hain aur is mein experience ki kam aur common sense ki zeada zaroorat hoti hai jab k commodities ki trading bohat he risky trading hoti hai kuen k us ko sirf aur sirf experienced traders he ker sakty hain humen is trading ko bohat he ehtyat se kerna hota hai kuen k is mein bohat zeada khtra shamil hota hai is type ki trading mein silver , gold aur oil ki trading shamil hai market mein gold aur oil ki trading bohat he dangerous samjhi jati hai humen chahiye k hum agar new comers hain tou humen is se bach ker he rehan chahiye
            agar hum un experienced hony k bawajood is mein trade kerty hain tou humen loss ka bohat zeada khatra hai is mein agar loss hota hai tou wo loss bhi bohat zeada ho sakta hai jo k recover hona bohat he ushkil hota hai aur is mein agar profit hasil hota hai tou wo bhi bohat zeada hota hai is tarhan ki risky trades mein beech ki koi bhi cheez nahi hai yani intermediate work nahi hota ya tou top level hota hai ya tou phir down forex par humen samjhdari k sath kaam kerna chahiye agar hum cool mind aur relax ho ker kaam keren gy tou humen acha mmunafa hasil ker sakty hain hum mehnat se tou bonus hasil ker lety hain lekin experience par zeada focus nahi kerty humen chahiye k hum apny experience gain kerny par bhi focus keren

            اب آن لائن

            Working...
            X