Dear Forex friends, Gold ki Movement zeada hone ki aek Waja to yeh bhi ha keh Dunya men Bari tadad men Rich Persons ko apna Sarmaya Mahfooz karne ka sab se Behtreen aor Baitemad Zariyyah Gold lagta ha aor yon Ammli tor par currency ke badley men Gold Khareed kar Dolat ko mahfooz kartey han Keun keh aap Tasawwar karren keh Gold ka Stock 100 saal baad bhi zarorat parney par bechney keliay Uss dor men ahmiyyat ke Mutabiq Farokht (sell) ho ga Lakin ittney hee Period ke baad currency woh USD ho ya koey bhi aap yaqeen se nahen kah saktey aaj key zakheera shudda 200 $ ho sakta ha zarorat parney par bechney ki soorat men 10 $ ke brabar Result den keun keh kissi bhi Mulk ya Currency ke halat men inqelaab (tabdeeli) aa sakti ha lakin gold ki ahmiyyat har dor aor har ilaqey men Yaqeeni ha lehaza Gold hamesha purkashish aor ahmiyyat ka hamil raha ha insani muashrey men aor yahee cheez iss ko Forex men bhi Ahmiyyat dilati ha aor Big Traders iss ki Trade men Dilchaspi letey han to Movement men izafa hota ha jo Professionals Traders keliay jab jaldi barey (big)Nataeg hasil karna chahtey ha trade par to woh iss ki trades lagatey han jo iss ki movement men izafey ka baes banti ha aor trade men zeada honey ki aek bari aor Ahm Waja yeh bhi ha keh yeh Yaqeeni tor par movement men Dollar ke Mukhalif (against) ha yani Dollar Up ho ga to Gold Down aor Dollar down ho ga to gold yaqeeni tor par Up lehaza yeh pehlo Gold Analysis ko bhi asan banata ha tajarba kar traders keliay to yon bhi iss ka Len Den zeada hota ha Baqee iss ke len den men izafey ki Ahm waja yeh woh Product samangh len jiss Mang (khappat) porey insani muashrey men yaksan aek jesi ha mukhtalif Mazahib aor Rawayat ke hamill dunya ke ilaqon men iss ka har koey ysksan khareedari ka shoqeen ha baqee kissi product ki mang dunya ke har ilaqey men aek jesy nahen kahen bahut zeada to kahen billkull Nahen. Ap ka kia knowledge ha iss ke mutaliq? Thanks
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим