Trading kernay waley new traders ko iss baat ki bohat confusion hoti hai kay MT4 trading terminal pay aik waqt mai kitnay pairs kay charts open liye jaey. Aisay traders ko chaiye kay apnay trading pairs ya commodities ko pehlay finally select ker Lia Karey aur phir sirf unn kay he charts ko open kia jaey tou theek rehta hai. Jaisay Agar koi trader 2 he currency pairs pay trading kerta hai tou usay died unn dono kay charts he open kernay chaiye aur jo traders kisi commodity pay trading kertay hain unhain usi commodity ka chart open kerna chaiye takay charts unhain simple tareekay say he samajh aa sakey. Ziada charts open kernay ka na tou koi faida hota hai aur na he zarurat hoti hai. Trading ko jitna simple rakha jaey utna he asaani rehti hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим