Jab ham real account main trading kartay hain to ham ko sab say pehlay market ki movement ko dekhtay howay trend ko dekhna hota hay aor phir osi trend kay hisab say buy ya sell ki trade open karna hoti hay example kay tor par market up move kar rahi hay to trend bhi up ka ho ga aor ham trade buy ki lagayin gay aor agar down ho rahi ho gi to trend bhi down ho ga aor ham sell ki trade lagayin gay maira ap say sawal hay k jab trend change ho raha hota hay to ham ko kaisay pata chalta hay k ab trend change ho raha hay?
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим