Dosto, hum may say kuch logo ko to pata he ho ga is baray may, lakin new logo ko shayed pata na ho, may new comers ko yeh batana chahta ho keh yeh do pairs aisay hain jo baaz auqat aik sath move kartay hain, lakin yeh dono pairs aik dosray k khilaf chaltay hain, yani agar aik oper jata hay to dosra neechay ata hay, yeh in dono pairs k darmyan bohat acha co-relation hay, jab Eur/usd neechay ja raha hota hay to Usd/Chf oper chala jata hay, aur jab Usd/Chf neechay ata hay to Eur/usd oper chala jata hay, lakin aisa sirf normal halaat may hota hay jab koi big news expected na ho aur market normal trend par chal rahi ho, is cheez ko pahlay observe karain, phir demo par try karain, lakin yeh wazeh rahay keh agar Euro ki koi news achi ati hay to us ka asar Eur/Usd par parta hay lakin Usd/Chf par nahi, isi tarha say baaz dafa Chf ki news ka Eur/usd k pair par asar nahi parta.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим