Forex Trading me stop loss hamen bohut bare nuksan se mehfoz rakhti hai. Jab bhi hum koi strategy banate hn aur us pe trade lagane ki koshash karten hen to ho sakta hai k hamari analysis sahi na ho aur trade nuqsan me bhi ja sakta hai to us sorat me hamen stop loss lazmi lagana chaheye is se humen bare nuqsan se bacha ja sakta hai. Stop loss Forex trading me trading platform jese MT4 aur MT5 ka aik behtareen sahulat hai jo hamen zyada nuqsan se mehfoz rakhti hai. Stop loss jo bhi hum trade lagayen to us me is ka istemal lazmi karen ta ke terminology hamre analysis k opposite hone pe hamen zyada khasare se mehfoz rakhen. Stop loss hamen kam nuqsan deti hai account ka bulkul wash hone k muqabele me. Stop loss hamen hamare jazbat pe bhi control hone me madad deti hai. Baaz dafa hum tired mind k sath trade karte hen aur nuqsan me trade jane ki waja se hum bohut jazbati ho jate hen jo hargez hamare trading k leye acha nahi hota. To is se bachne k leye stop loss ka zaroor istemal karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим