Agar kabhi loss Ho bhi jaaye to to us loss ko recover karne ke chakkar mein kabhi bhi trade open nahin karni chahie kyunki us waqt Ham bahut zyada emotional Ho jaate Hain aur us waqt Ham apne loss ko recover karne ki soch rahe hote hain us waqt hamara Dil karta hai ke Ham ziada lot size lagakar apni trade ko win Karen aur apna Sara loss recover kar len lekin aisa karna bahut zyada khatarnak ho sakta hai kyunki jab Ham emotions mein aa kr trade open karenge aur loss ko recover karne ke chakkar mein honge to use waqt Ham jo bhi trade lenge vah hamare opposite jayegi aur hamen aur bhi jyada loss hoga
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим