Forex Trading me koi ghalti mamoli nahi hoti. Baaz dafa hum kehten k aik choti se ghalti ki waja se bohut nuqsan uthana para aur yahan tak k account wash ho gaya. To is ka matlab ye hai k koi bhi ghalti choti nahi hai q k agar wo nuqsan bara karti hai aur account tak wash kar deti hai to is ka matlab hai k wo bohut bari vhalti hai wo choti ghalti na howi pher. Is waja se hamen ghalti ka andaza nuqsan pohunchne se karna chaheye. Q k agar bari ghalti se faida mel jata hai to wo ghalti nahi hai hamara andaza ya analysis keh lo ghalat ho sakti hai. Aur choti ghalti agar nuqsan zyada de to wo choti ghalti nahi hoti pher. Is waja se choti bari sari ghaltion pe control hona chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим