Planning karte waqat apne confidence pe bharosa ho aur apki strong strategy honi chaheye. Kabhi bhi mutazabzeb ka shekar na hona. Bulke khud pe bharosa karke aghaz karen. Forex Trading me planning bohut acha idea hai. Planning hi k zarye se hum apne leye aik gaol banate hen aur pher ko complete karne ki koshash karten hen. Planning agar hamari achi hogi to hamen kamyabi bhi achi aur behtareen mele gi. Is waja se jab bhi planning karen to cool mind k sath karen kabhi bhi jaldi na karen. Aur planning k bagher hamen nahi chalna chaheye. Agar hamari planning kesi khas point pe nakam hoti hai to hamen apni planning par aik dafa pher se nazar sani karni chaheye. Aur ghaltion ko darust karna chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим