Stop Loss dena is sense me bohat zaruri hai because is se aap mentally tor per confident or satisfy ho jaty hain hain kay aap ko aik khaaas had tak loss nahi hoga magar stop loss ko lagana ka tareeqa bhi hona chahiay. Agar aap ne stop loss ghalat laga dia ya bohat hi kam distance pe laga dia tu aap kabhi bhi uss order se profit nai le sakty wo lazmi stop loss ko hit kary ga. Is liay koshish karen kay market kay levels se bahir stop loss dain. Ye bohat achi cheez hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим