Forex trading mai traders kaamyab bhi hotay hain or nakaam bhi hotay hain. Aap kabhi bhi kaamyab traders ko apni strategies share kertay huay nahi daikhengay .sirf nakaam traders he apni nakaami ko share kertay hain. traders ko ziada ter losses hamesha jald baazi ki wajah say hotay hain. Jald baazi kay losses mai profit thora lay kay trade close ker laina jo kay baad mai mazid barh jata hai or trade loss mai janey kay fori baad trade close ker laina hatakay trade wapis profit mai ajati hai. Jald baazi ki waja say honay wala loss dobara poora nahi hota hai.Traders apni jald baazi pay control ker kay kaamyab ho saktay hain
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим