Dear All Pakistan Forex Forum members Assalam o Alaikum: Dear all members jaisa k hum trading ka kaam kar rahe he to me aksar trading jo he wo Crude Oil per karta ho Monday ko jab market chal rahi to Crude oil ki market up and down ho rahi thi bar bar mene us din 9.5$ profit lia sell or buy k orders laga kar jab night hui to market ka trend down ja reha tha or buht saare traders sell ki taraf ja rahe the us time market rate 56.40 tha or prediction ki ja rahi the k Crude oil 55.60 tak ja sakta he to mene sell ka order laga dia to jab order lagaya to thore hi time baad market up jana start hui or trader full confidence k sath dekh rahe the k market kab 55.60 ko touch karti he aisa karte karte mene bhi trade ko chalne dia k market reverse ho sakti he lekin market ne reverse nahi lia or aaj 21$ ka loss ho reha he lekin mene trade close nahi kia he kio k agar close kar donga to mera capital 27$ bachta he phir me bonus aane tak Crude oil per trade open nahi kar sakonga is liye ho sakta he k market kuch down ho jai.
Aap sub seniors se request he k aap k analysis k mutabiq kia market down aa sakti he ya nahi agar aap log rehnumai karenge to hum juniors aap se achi learning haasil kar sakte he.
Aap sub seniors se request he k aap k analysis k mutabiq kia market down aa sakti he ya nahi agar aap log rehnumai karenge to hum juniors aap se achi learning haasil kar sakte he.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим