Dear all Pakistan Forex Forum members Assalam o Alaikum umeed kerta ho k aap sub members khairiat se honge Ameen: Dear all jaisa k hum sub log Forex Trading me kaam karete he or hamen pata he k Forex Trading k software MT4 me kuch tools use hote he jin ko use ker k hum log apni trading ko kuch aasan bana sakte he us me jo indicators hamen un indicators se madad leni chahiye or us k mutabiq trading karni chahiye: Indicators me se aik indicator Relative Strength Index (RSI) hota he jis ko use ker sakte he jab aap software open karte he to us me aik oper left side per INSERT ka option he jab us per click karenge to to aik list open hogi us me sub se pehla name indicators ka aata he us per click kerne se aik or list open hogi jis me OSCILLATORs me ja ker weha se aap ne Relative Strength Index open kerenge or aik window open hogi us per ok ker dena he jab ye open ho jaeiga to chart me neche left side per RSI likha hoga or aik blue color ki line open ho jaeigi, RSI k sath kuch numbers show ho rahe honge jab wo numbers 70 se oper chale jaein to weha per hum log sell ka Trade open ker sakte he or jab wo numbers 25 se kam ho to weha per hum log Buy ka trade open ker sakte he. Dear all aap sub log RSI ko use kia kare.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим