Ye review " Water Tanki" pr mabni hai
Asslam o alaikum doston dua hai k aap sab khairiyat sy hon gy.
Introduction:
Jesa k aap janty hain k mera aaj ka mozu paani wali tanky k mutaliq hai. Ye tanky hr ghar ki zaroorat hai aur ye hr ghar main majood hoti hai. Ye tanky plastic ki ya plastar ki hui inton sy bani hoti hai. Ye hamary ghar ki chaht pr ya neechy washroom main pari hoti hai. Aur iss ka istamal bhot zyada hota hai.
Advantage:
Jesa k hum janty hain hr cheez ka koi na koi faida zaroor hota hai aur main yahan paani waly tanky k faidy aap sy share karun ga. Water tanky paani ko store krny k liye istamaal ki jati hai.... Inka size aur shape different hota hai jo k bazaar sy asaani sy mil sakti hain. Jitne bary size ki hogi utna zyada paani store kiya ja sakta hai. Ye paani ko saaf rakhny main kaam ati hai aur iss main aik baar paani store kr liya jaye to baar baar hamy motor ni chalani parti aur hum bijli ki bachat kr sakty hain. Paani wali tanky zyada expensive ni hoti balky issy sab log khareed sakty hain. Iss ka istamaal hamry roz mara kaam main ata hai.
Disadvantages:
Hr cheez k faidon k saath saath kuch nuqsaan b hoty hain issi tarah paani wali tanky k b kuch nuqsaan hain. Ye paani ko store karny k to kaam aati hai liken kuch dino main ye ghandi ho jati hai jis sy paani main jaraseem bacteria wagara shamil ho jaty hain aur ye paani qabil e isatamal ni rehta aur issy baar baar saaf krna kafi mushkil kaam hai. Agar ye bary size ki hon to inko uthana kafi mushkil hota hai aur ye tanky jitni bari hogi utni zyda jaga cover kary gi. Agar ye low quality ki hon to jaldi kharaab ho jati hain aur jaga jaga sy leak hona shuroo ho jati hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим