AssalamoAlaikum guys ummeed krta hu k aap sab khairiyat se ho ge to aaj ka jo hamara topic hai wo bara hi interested topic hai plZzZzz iss thread ko sirf parhna hi nhi balke kr k bhi dekhna jo mai aap sab ko btaane wala hu wo bara hi aasan hai plZzzz is ko ek baar try kr k zruur dekhna.....To guys aate hai hamaare topic pe to hamaara topic hai k mobile k jo chargers hote hai unhe hum kis trah se thiik rakh sakte hai yaani k ziada tr chargers ki jo leed hoti hai wo aksr starting se ya end se toot jaati hai to um kis trah se leed ko khrab hone se bacha sakte hai to guys bhut hi easily tariika hai simply aap ne krna ye hai k jo baal pen hota hai us k ander se spring nikaal lena hai aur us spring ko charger ki leed k starting aur end dono pr lapet dena hai aur is trah spring ko lapet dena hai k taake jb leed ko ikatha kia jae ya marooda jae to wo flexible ho jae jis ki waja se wo leed aap k charger ki safe rehti hai aur kabhi khraab nhi hoti to guys plZzzz ek baar ye trick zruur kr k check krna........To guys agr aap ko mera ye thread acha laga to plZzzZzzz is thread ko like kr dena to guys aaj k liye sirf itn hi aur next thread tak k liye ALLAH HAFIZ.........
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим