Ye review "Television" pr mamabni hai
Introduction:
Television jise TV kaha jata hai ye aik electronic khilona hai. Ye different size aur shape k hoty hain aur iss ki shakal choras aur mustateel ki tarah hoti hai. Ye bijli pr chalta hai aur iss k sath aik antina attach hota hai jo signal catch karta hai aur tv tak pohnchta hai aur tv main majood tube rod us signal ko tv ki screen pr dekhati hai. Aur tv main majood speaker jin sy hamy awaz ati hai. Television aik bhot mufeed cheez hai.
Advantage:
Television aik electronic cheez hai jis k bhot sary faidy hain jo yahan byan kiye jaye gy. Television puri duniya sy hamy bakhabar rakhta hai. Iss television k zariye hum duniya k halaat sy bakhabar rehty hain aur iss k saath saath television hamy tafreeh b mohiya krta hai. Hum television pr dramy news films aur deegar programs dekhty hain aur lutfandoz hoty hain. Jesa k hum janty hain k newspaper pr hum sirf news parh sakty hain aur usy prhny k liye urdu aur English language pr maharat chahiye jab k television ka ye b bhot bara faida hai k wahan hamy prhny ki zaroorat ni hoti balky sunanna hota hai aur saath saath hum wo manazar b dekh sakty hain jab k newspaper main hum video ni dekh sakty.
Disadvantages:
Jesa k hum janty hain hr cheez k faidon k saath saath kuch nuksaan b hoty hain. Television ka nuksaan ye hai k hamy issy dekhny k liye aik jagah behtna prta hai jab k newspaper ko hum sath ly kr ja sakty hain aur safar main hon to kisi b jagah usy prh sakty hain. Aur television ka aik aur nuksaan ye hai k ye bijli pr chalty hain aur kafi bijli istamal hoti hai. Agr ye achi quality k na hon to jald kharaab ho jaty hain aur achi quality waly television kafi expensive hoty hain jo hr koi ni ly sakta. Television ka sab sy bara nuksan ye hai k issy nazdeek sy dekha jaye to aankhy kharaab ho sakti hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим