Dosto aik aur acha tool hay jo shayed kuch logo nay dekha to ho lakin shayed un ko use karna na ata ho, aur wo tool hay Fibonacci fan, waisay to is may sirf teen lines hoti hain jaisa k fibonacci arc may hoti hain, lakin yeh straight lines hoti hain, jab k fibonacci retracement may kam say kam 5 lines hoti hain. Yeh tool ziada tar bull aur bear trend may kaam ata hay aur hamay achay ideas dayta hay k market konsi range par chal sakti hay agar continues bull chal rahi hay ya bear. is ko ap insert k option may ja kar Fibonacci k option say bhi nikal saktay hain. may neechay ki picture may ap ko dikha dayta ho k kaisay ap is ko use kar saktay hain. is may bhi ap swings ko use karain gay. Lakin agar ap trend line bhi draw kar lain gay to ziada asani ho jaye gi ap logo ko.
Yeh tool may nay daily chart may use kia hay, wo is waja say ta keh mujhay yeh idea ho sakay k is waqt price kitnay percent par retrace ya extend ho rahi hay.
All related comments are welcomed.
Yeh tool may nay daily chart may use kia hay, wo is waja say ta keh mujhay yeh idea ho sakay k is waqt price kitnay percent par retrace ya extend ho rahi hay.
All related comments are welcomed.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим