Dosto, yaha par may ap say aik indicator share karna chaho ga jo bohat common hay aur is ki madad say hum market ko analyze bhi kar saktay hain, aur wo hay moving average. Asal may to aur bhi indicators hain jin k crossover ki madad say hum market ko analyze kartay hain, lakin moving average ka apna muqam hay, yehi moving average hamary meta trader may char tareeqo say use hoti hay, aik hay simple moving average, dosri hay exponential moving average EMA, third hay smoothed aur forth hay linear weighted. Lakin hum log ziada tar do hi tarha ki use kartay hain, aik simple aur dosri exponential.
Ab masla yeh hay k humay pata kaisay chalay ga k exponential kaha say milay gi aur simple kaha say, to is k lye hum jab moving average par click karay gay to jo choti si window hamay nazar aye gi wha par hi yeh option available hay, Parameters k tab may hum dekh saktay hain MA methods may yeh option show ho rahay hotay hain. Is may meray khayal say parameter k tab may teen chezain bohat aham hain, aik to Period, dosra MA method aur teesra apply to.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим