Dosto, ziada tar log robot trading ki baat to kar rahay hain, lakin hum may say ziada tar logo ko yeh hi nahi pata k robot ko ap laga kaisay saktay ho? Yeh thread isi lye open kar raha ho ta keh ap ko bata sako k robot ko kaisay install kia jaye.
Sab say pahlay to ap robot ko download karo, jaha say bhi kar saktay ho, phir us k folder ko khol kar dekho us may konsi files hain, ziada tar robots may sirf 2 files hoti hain, aik readme aur dosri ex4 ki, lakin baaz dafa mql4 ki bhi ajati hain, lakin hamaray kaam ki jo hoti hay wo aik hoti hay, ex4 wali file, phir bhi ap yeh teeno files copy karain, aur apnay computer may program file may jain. Wha par ap ka meta trader installed hoga aur us ka folder bhi hoga, yaha par hum instaforex ki baat kartay hain. Instaforex k folder par click karain. us may ap ko experts ka folder nazar aye ga, us ko khol kar sari files us may paste kar dain.
Agar ap ka meta trader khula hua hay to us ko restart kar lain, aur agar nahi khula hua to us ko start karain. ap k meta trader may expert may ja kar check karain, wha par ap k robot ka name show ho raha hoga. us ko double click karain, lakin yaad rahay k jo bhi chart select hoga usi par wo robot kaam karay ga, to chart ko pahlay hi select kar k rakhain, jaisa k Eur/usd ya phir Usd/jpy wagaira. ab ap dekhain gay k ap k chart par oper ki taraf konay may ap k robot ka name likha ajaye ga. ap ka robot install ho gaya is ka matlab hay, lakin wha par aik cross sa bana hua aye ga, is ka matlab yeh hay keh ap ka robot abhi active nahi hay. Us k lye ap expert adviser ka button press karain gay to phir wha par ap ko aik smiley face nazar aye ga, to is ka matlab yeh hay keh ap ka expert adviser ab kaam kar raha hay.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим