Asalaam U Alykum members,
kese hein sab umeed karta hon sab kheriyat se honge.
maine abhi ek hafta pehly hi es forum koi join kia hai.
Mashallah bahot zabrdast forum hai aur beshumar fayde hein. lekin ek cheez ki kami maine mehsos ki k yahan seekhne ka koi baqayda silsila nahi hai. to maine socha kyon main es naik kaam ki shoroyat kar dun taa k naye aane waly members aur purane members jo abhi bhi kisi achhy silsily ka intizaar kar rahy hein wo asaan aur behtreen andaaz mein seekh sakein.
main koshsh karun ga k waqt nikal k hafty mein rozana nahi to kam az kam 5 classes post kar dia karun taa k hum mahine tak forex trading k bunyadi baaton ko seekh sakein.
aj ki hamari pehli class mein main ap ko btaon ga k forex trading hai kya?
Forex ka lafz 2 english k alfaaz ka majmuya hai yani For (Foreign) aur Ex (Exchange) ka, aur trading ap sab janty hein k tijarat ko kehty hein. to mere khayal mein ab ap zyada behtar samjh sakty hein k Forex trading kya hai.
Forex trading ek esa online plateform hai jahan par benaiqwaami(international) paiso(currencies) ka len den hota hai. ap es market k mein dunya ki kisi bhi currency ko khareed (buy) sakty hein aur jab chahy farokhat (sell) kar sakty hein. es k ilawa mazeed metals aur madniyaat ko bhi es market mein shamil kia gya hai jin ko ap khareed aur bech sakty hein.
ab es mein khareedne aur bechne par ap ko fayda nuqsan kya hota hai aur kese hota hai aur har currency ki qeemat ka kya hisab hota hai wo hum aane wali classes mein parhein gy.
agar mera ye silsila pasand aya ho to thanks ka button daba kar meri hosla afzai lazmi kar dein taa k agla thread main mazeed mehnat k sath bana sakun.
Shukria

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим