Dosto may ap ko yeh batana chahta ho keh ap log aik strategy bana saktay ho jis ki madad say ap long term trades kar saktay ho ya phir hum us ko swing trade bhi keh saktay hain, lakin us may ho sakta hay keh ap ko bohat wait bhi karna paray market movement ka, lakin jo bhi result aye ga acha hi hoga inshaallah.
Karna kuch is tarha say hay keh ap fibonacci retracement tool use karain gay is strategy may. Time frame hoga D1, W1 and MN, yeh is lye keh raha ho kyo keh big time frame may ziada acha result ata hay, ab ap is may simply higher swing dekhain gay aur lower swing dekhain gay, us say ap ko idea ho jaye ga keh market is waqt kaha hay. May ap ko picture ki madad say batata ho.
Is may ap dekho gay k market ziada tar 38% par retrace hui hay aur phir down gai hay, agar ap is time par long term may Gbp/usd par sell laga lo gay to jab market 23% par aye gi to ap ko acha khasa profit mil jaye ga, abhi is may market nay 38% ko touch nahi kia hay. Ap 38% ko dekh kar us jagha par trend line bhi laga saktay ho aur sath may ap pending order bhi laga saktay ho. Lakin us ka SL 80 pips tak ka lagana, kyo keh market mazeed penetration bhi kar sakti hay, lakin umeed yehi hay keh wha say back ho jaye gi, kyo keh mera experience market ka yehi hay keh market trendlines ko aur fibo ki percentage ko kam hi break karti hay, break karnay ka matlab yeh hey k line cross kar k candle close hona.
Mazeed maloomat k lye aur fibonacci tool k baray may jannay k lye ap log is forum k mt4 aur Mt5 k indicator walay section may jaye ya phir is ko click karain.
http://investsocial.com/ur/forumdisplay.ph...5-k-Indicators
Dosto, yeh thread best thread starter award win kar chuki hay, aur mujhay umeed hay k ap log is thread say kaafi kuch learn bhi karain gay.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим