Trading me kuch ese levels hote hai jo k optional ho yani jin ko agar ap ka system karamad samjhe to follow kare warna inko sirf apne zehen k peche rakha ja skta hai take agar price in k as pas ae tu hame yad ho k yaha se change aa skta hai. In levels ki misal ese hai jese daily support level 2 ya daily support level 3 aur esi tarha daily resistance level 2 ya resistance level 3. Generally, ham inko chor skte hai pr kbhi kbhi market in levels p thora rukti hai aur directional change ane ka chance hota hai aur market in levels ki kabhi kabhar thori respect krti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим