USD/CAD ka outlook kai factors par mabni hai, jin mein seh mufassal U.S. economic indicators aur Federal Reserve ki policy decisions shamil hain.Anay wali Federal Reserve meeting aur "dot plot ka release,jo future interest rate projections ke hawale se insights deta hai, market participants ke liye bohot ahmiyat rakhta hai jabke U.S. inflation moderate hone ke asaar dikhata hai, badi interest rate cuts ke liye market expectations barhti ja rahi hain jo U.S. dollar ko kamzor kar sakti hain yeh shift U.S. Treasury bond yields mein girawat la chuki hai aur USD ko apne 2024 ke lowest level ke kareeb dhakel diya hai yeh dynamic USD/CAD pair ke liye challenging environment paida karta hai, jo Greenback ke liye mazeed near term gains ko mushkil banata hai.Pair ne kaafi resistance face ki hai aur upward momentum dhoondhne mein nakam raha hai. Jumma ke Asian session ke douran pair 1.3980 mark ke aas paas hover karta raha jo pichlay din ka takriban two week low level tha technical indicators abhi Canadian dollar ke haq mein hain. Mid-1.4000 area mein resistance ne USD ke gains ko pichlay hafte roka, aur Jumeraat ke price action ne daily chart par bearish outside range banayi, jo strong selling pressure ko signal karta hai saath hi low weekly close ne bearish outside range week ko mazbooti di. Yeh developments USD ke limited upside potential ko dikhati hain aur key support levels 1.3950, 1.3930, aur 1.3530 ke qareeb hain. Jab tak USD in levels ko tod nahi leta, pressure downside par barqaraar rahega, jo near-term mein CAD positive outlook ko reinforce karega.Agar pullback 1.4005 tak hota hai toh focus trading range ke top end ke resistance par shift karega jo 1.4010 tak hai.Iss level par rebound ke chances already high hain.Traders ko in dynamics ko closely dekhna hoga.Aaj ka trading strategy hai USD/CAD currency pair ko critical level 1.4010 par sell karna. Southward trend ki developments ko closely monitor karna zaroori hai jo decision making ke liye ahmiyat rakhta hai Agar traders in critical levels ke aas paas ki movements ko dhyan se monitor karein,toh wo possible market changes ka faida uthane ke liye effectively position mein ho sakte hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим