160.30 se neeche break karta hai, toh yeh growing bearish pressure ka clear signal hoga. Yeh level pehle bhi ahmiyat rakhta tha, aur iske neeche break ka matlab hoga ke sellers market par control hasil kar rahe hain. Is region mein price action ko monitor karna traders ke liye intehai zaroori hai, kyun ke yeh aglay downward movement ka ishara ho sakta hai. Agar EUR/JPY 160.30 se neeche break karta hai aur girawat jari rehti hai, toh yeh bearish momentum ke mazid strong hone ka pata dega, aur aage aur bhi girawat ki umeed barh jati hai. Agar yeh bearish trend 159.57 se neeche jata hai, toh yeh market mein aur bhi deep losses ka indication hoga. Jo traders downward trend ki confirmation dhoond rahe hain, unke liye 159.57 se neeche ka sustained move ek strong signal hoga ke mazid selling pressure aane wala hai. Agar price 159.50 ke level ko hold nahi kar pata, toh yeh market sentiment mein ek bearish shift ko confirm karega, jo ke mazid downtrend ko janam de sakta hai. Aaj ke din, EUR/JPY pair ECB ke decision se pehle positive momentum dikhara hai, jab ke Japanese yen mein monthly low se recovery ke baad thori si weakness hai. Expected hai ke ECB apni September monetary policy meeting ke baad 25 basis point ka rate cut announce karega. Yeh is dafa ki easing cycle ka dosra adjustment hoga. Lekin traders ko updated economic forecasts par bhi tawajju deni hogi. Saath hi, ECB ki President Christine Lagarde ke comments post-meeting press conference mein bhi common currency aur EUR/JPY pair ke short-term trajectory ko influence kar sakte hain. Eurozone central bank ke upcoming events se pehle, Japan ke weak PPI (Producer Price Index) data ne Bank of Japan ke hawkish signals ko undermine kar diya hai, jiski wajah se Japanese yen ki selling hui hai. Dar haqeeqat, Japan ka core PPI August mein 0.2% decline hua, aur annual rate bhi expectations se zyada gira, July ke 3.0% se gir ke 2.5% par aa gaya. EUR/JPY pair abhi bearish trend mein hai, aur price takreeban 157.72 par trade kar raha hai. Magar, technical aur fundamental factors dono yeh indicate kar rahe hain ke aglay chand dinon mein ek bara movement ho sakta
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим