USD/CHF pair ne aaj apne low aur support level 0.9030 ko break kar diya hai jo bearish continuation ka indication hai RSI bhi 30 ke kareeb hai jo dikhata hai ke market oversold zone mein hai lekin iska matlab yeh nahi ke price foran reverse karegi balki short term mein ek chhoti si upward correction ho sakti hai aur uske baad price phir se neeche gir sakti hai kyunki overall sentiment bearish hai aur fundamental data bhi dollar ko negative impact de raha hai pechle week aur is week ke jitne bhi economic reports aur data aaye hain wo USD ke against ja rahe hain jo selling pressure ko barhane ka signal de raha hai agar price 0.9030 ke neeche sustain karti hai to agla target 0.9000 aur uske neeche 0.8975 ho sakta hai lekin agar price thoda rebound karti hai to pehla resistance level 0.9055 aur uske baad 0.9080 ho sakta hai agar price wahan se rejection leti hai to bearish trend confirm hoga aur neeche naye lows banane ka chance barh jayega moving averages bhi dekhna zaroori hai agar price 50 aur 200 EMA ke neeche rehti hai to bearish momentum barh sakta hai lekin agar price in levels ko todti hai to bullish pullback ho sakta hai filhal market structure selling ko favor kar raha hai aur jab tak price 0.9080 ke upar close nahi karti tab tak bearish pressure barqarar reh sakta hai traders ko chahiye ke wo price action aur economic indicators ko closely monitor karein aur short selling setups ke liye confirmation ka intezar karein stop loss ke liye 0.9080 ka level sahi rahega aur take profit ke liye 0.9000 aur 0.8975 ke levels best ho sakte hain risk management zaroori hoga taake market ki volatility se bacha ja sake overall USD/CHF bearish zone mein hai aur jab tak dollar ko positive trigger nahi milta tab tak selling pressure dominate kar sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим