period ne buying activity ko kamzor kiya. Market corrections aksar buying activity ko slow kar dete hain, kyunke traders price stabilization ka intezar karte hain. Magar ab waqt aa gaya hai ke buyers apne trades ko manage karein, kyunke market conditions behtar ho rahi hain. Broadly, the USD/CHF market is stuck at 0.8634 and is above the resistance level. Yad rahe ke support levels wo price floors represent karte hain jahan demand itni ziata hoti hai ke aage girawat rok li jaati hai. Main yeh suggest karunga ke support level se buy entry lein, kyunke yeh risk ko minimize karta hai aur upward momentum se fayda uthane ka mauqa deta hai. Iss setup ke liye, take profit target ko daily high level ke upar set karna zaroori hai. Daily high aksar resistancehaq mein rahega aur hum aaj bullish concept ko follow kar sakte hain. Ek broad view mein, traders ko un dosray factors se bhi agah rehna chahiye jo market ko influence kar sakte hain, jaise ke economic data, geopolitical events, aur central bank policies. Yeh factors market sentiment ko rapidly shift kar sakte hain aur price movements par asar dal sakte hain Monday ko dollar-franc pair ka trading meri predictions ke mutabiq nahi hua. Friday ke price action ko dekh kar maine growth anticipate ki thi, jahan pair ne 0.84692 ke support ko test kiya tha aur resistance 0.85199 ki taraf pull back kiya tha. Magar price ne phir se us resistance ko retest nahi kiya, aur main umeed kar raha tha ke Monday ko is level ka retest hoga. Mere khilaf, pair ne dobara decline kiya aur 0.84692 ka support test kiya. Halanki price is level ke neeche close nahi hui, main apni bullish outlook par qaim raha. Aaj ka forecast bhi accurate nahi raha, price ne 0.84692 ke neeche close kar ke ek bearish candle banai. Agar price is level ke neeche close karti hai, to agla target 0.84027 ka support hoga
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим