USD/CHF pair ne kafi acha upward movement dikhaya, jo ke mumkin hai China se negative news aur Middle East ke quiet halaat ki wajah se hua. USD/CHF ne "flag" pattern ko break kiya aur apni growth jari rakhi. Yeh breakout kafi wazeh tha, lekin Asian markets mein hum dekh sakte hain ke yeh pattern ke boundary ko dubara test kare aur wapis isme aa kar fast EMA-18 ko test kare, jo ke ab 0.8606 par positioned hai. Mazid strong local support EMA20 ka hai jo ke 0.8586 par hai. Mera target ab bhi 0.8671 hai, aur mein is resistance ko week ke end tak test karne ki umeed karta hoon. Uske baad shayad ek reversal aaye aur price phir se upward move kare. Warna, pair channel ko break karke downward continue kar sakta hai. Market ne acha perform kiya, aur halan ke mujhe pattern ko pehle pakarna chahiye tha, ab mujhe market ka ek naya logical phase dikh raha hai. Din ke aakhir tak mujhe umeed hai ke USD/CHF 0.8682 tak pohoch jaye ga, kyun ke yeh 0.8618 support zone se nikal gaya hai aur aur growth ke liye tayar hai. Trend apni wave pattern mein jari hai, magar mein abhi bhi iske end ke bare mein unsure hoon. Ho sakta hai ke yeh 0.872 ke aas paas end ho, lekin filhaal yeh scenario nazar nahi aa raha. Yeh ek future ka possibility hai aur humein iske liye tayar rehna hoga. Kal ECB se global news aayegi, jo market mein zyada activity laye gi, compared to last week ke slow end, jahan pair 0.8600 ko break karne mein muskil mein tha. Hourly chart par pair ek upward channel mein trade kar raha hai, aur aaj upper boundary 0.8637 tak pohch gaya. Lekin yeh rally ko rokta hai, aur price ne reverse karte hue downward move kiya. Mujhe umeed hai ke decline jari rahe ga aur channel ke lower boundary tak, jo ke kareeb 0.8580 par hai, pohchay ga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим