USD/JPY Price Reviews: Assalaam O Alaikum! Dear Friends, forex market main trading karnay k liye agar ham aik achay aur regular traders show hona chahtay hain to hamain market main major currencies ko follow karty huway aur unka knowledge hasil kartay huway kaam karna hoga. USD/JPY aik major currency pair hai jis main trading karna bahut asaan bhi hai aur sath bahut ziada mushkil bhi. Main aj apk sath is pair ka kuch normal tareekay say analysis karnay wala hoon jisko follow kartay huway ham aik acha trade idea hasil kar saktay hain aur sath ham market ki next movements ko bhi samjh saktay hai, maira charts simple aur useful hotay hain jinko samjhna bahut ziada asan hota hai. Chart Analysis: Dear Friends, USD/JPY Pair price is haftay k start say lay kar ab tak kuch bhi khaas movements ko possible nai bana saky hai.Currently price 132.18 support levels k ooper running kar rahi hai, aur sath aaj say phir price aik bar declined honay k baad upward movements ko start kar chuki hai. Agar current position apni movements ko upward continues rakhty hai to chart pay price ka agal target ooper 133.77 aur phir usk bad agar price is levels ko again buy breakout karty hai to chart pay price ka trend phir say upward start honay k sath target ooper 135.10 last resistance zones honay k chances hain. Agar current position Reversed hoty hai aur sath neechay main support 132.18 k down main breakout ksath priceko confirm karty hai to chart pay price ki downard movements start honay k chances ban saktay hain jiska target neechay 130.42 main support honay k chances ban saktay hain. Mairay analysis k hisab say agar ham custom indicator Stochastic ki reading ko daikhtay hain to wo bhi chart pay 20 levels say up movements k liye declined ho kar buy signal show kar raha hai, is liye chances hain k price k aglay target ooper resistance levels ho saktay hain. Shukrya.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим