EUR/USD, 2023 Assalam Alaikum! Kal, kharidar qimat ko badhane aur 1.0969 se ooper todne me nakam rahe. Iske bajaye, euro/dollar ki jodi qadar khone lagi. Natije ke taur par, qimat 1.0926 ki support satah se toot gayi aur is se niche fix ho gayi. Sath hi, tejarati hajam me izafa hua. Is se zahir hota hai keh bade bears market me dakhil ho chuke hain. Iske alawa, haqiqat yah hai keh qimat 1.0926 ke nishan se niche fix ho gayi hai, yah batati hai keh jode ke pas nuqsanat ko badhane ka har mauqa hai. Mangal ko bane 1.0884 - 1.0890 ke ulaqe ko intraday target zone ke taur par dekha ja sakta hai. Iske alawa, 1.0960 - 1.0966 ka accumulation area hai. Halankeh, yah bahut dur hai. Is tarah, intraday traing ke liye is ilaqe par gaur karna munasib nahin hai, khas taur par bears ke sakht dawab ke darmiyan. Meri nazar me, munafa kamane ka behtarin tariqa short positions kholna hai. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh euro/dollar ka joda 1.0884 - 1.0890 ke kharid zone ki taraf fisal jayega, ise todega aur fir 1.0860 ki support satah tak mazid niche jayega. Is ilaqe me, joda apni agli simt ka faisla karne se pahle sideways karobar karega.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим