Assalamualaikum Trading kaise chal rahi hai pichlay dinon mein? Umeed hai sabhi members apne trading targets ke mutabiq achi kamyabi hasil kar rahe honge. Aaj subah bhi mein apna trading journal update kar raha hoon taake forex market ke aglay rujhan ka andaza lagaya ja sake. November se mein Eur/Usd market ki harkat ka mushahida kar raha hoon jo us waqt se bearish chal rahi thi jab tak yeh 100-period simple moving average zone ke neeche gir gayi. Jab December ka aghaz hua toh market ka rujhan buyers ke qabzay mein aa gaya aur dheere dheere prices upar ki taraf chalne lagi. Iss hafte ke trading session mein price barh kar 1.0590 tak pohanch gayi hai. Hafte ke start mein halki bearish correction nazar aayi magar upward trend ne phir se apni jagah banayi. Aaj subah tak price uptrend mein hai aur candlestick ki position 100-period moving average ke upar stable hai, jo yeh dikhata hai ke buyers bullish side ki taraf jaane ki koshish kar rahe hain.Aaj ka market yeh zahir kar raha hai ke price mahine ke sabse neeche wale level se upar uth chuki hai. Trading ki is subah price restricted range mein hai lekin overall mahine ke start se bullish lagti hai. Buyers ki support ki wajah se price abhi tak upar ja raha hai. Pehle ke price izafay ne candlestick ko mahine ke aghaz wale zone se door le jaane mein madad ki hai. Eur/Usd ne apne safar ka aghaz 1.0575 ke level se kiya, aur 4-hour timeframe dikhata hai ke buyers ka asar barh raha hai jo price ko aur upar le ja raha hai.Hafte ke start se buyers price barhane ki koshish mein hain. Agar bara timeframe dekhein toh rujhan bullish hai aur lagta hai market ab bhi upward momentum ka intezaar kar rahi hai jo ya toh aaj ho sakta hai ya aglay hafte. Candlestick ka 100-period moving average ke upar rehna iss baat ka signal hai ke price bullish side par chal sakti hai, lekin fundamentals jaise ke Non-Farm Payroll news, iss movement ko support karenge.Subah kaafi quiet hai isliye humein dopahar ya sham tak signal ka intezaar karna hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим