EUR/USD Kal quotes kisi hadd tak mazbut hue. Hairat ki bat yah hai keh, EUR/USD ne America me macro releases par nisbatan kamor radde amal zahir kiya. 1-ghante ke chart par, quotes 1.0823 ki nayi nichli satah par pahunch gayi. Halankeh, bulls izafe ko badhane me nakam rahe, aur quotes wapas aa gayin. Filhal, 1.0778 support se thoda oper consolidation hai. Yah dekhte hhue keh indicators tezi ke ishare dete hain aur qimat ooper kitaraf badh rahi hai, ham mumkena taur par 1.0823 ke braekout ke sath oopri rujhan ka tsulsul dekhenge. Aaj, mai ehtiyat se trade karunga kiyunkeh kaun janta hai keh Fed ke sadar ke press conference par market kis tarah radde amal zahir karti hai. 4-ghante ke chart par, aisa lagta hai keh bulls market ke control me hain, halankeh ishare gahre mandi ki islah ke imkan ki taraf ishara karte hain. Darmyani muddat me, qimat 1.0810 se toot sakti hai aur nishan ke ooper band ho sakti hai. Aisi surat me, mai tab tak bullish rahunga jab tak qimat 1.0864 par darmiyani muzahmat ke sath 1.0919 tak nahin pahunch jati.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим