EUR/USD pair Price Overview: Assalaam O Alaikum! Agar ham EUR/USD Currency pair price ki h1 time frame pay movements ko daikhtay hain to price declined hotay huway down ki movements ko pressure k sath continues rakhay huway hai. Mairay analysis k hisab say price ki down ki movements tab tak jari reh sakty hai jab tak price neechly boundri 1.093xx tak test nai kar laity hai, aur agar ham jab price ko is boundri area ko test kartay huway ya is k aas pas price ko movements kartay huway daikhain to tab hamaray liye price chart ki buy trades ko open karnay main koi bhi time waste nai karna chaye, agar ham market chart pay price ko is hisaab say aur is planning ko mined main rakhtay huway entry pick kartay hain to hope ki ja sakty hai k EUR/USD pair price ki aik he perfect open trades say ham pooray week ki earning ko possible bana saktay hain. Maine neechay aik price chart share kiya hai jisko follow kartay huway agar ham market chart pay trades ko open aur exit laitay hain to ham acha profit bhi hasil kar saktay hain aur sath loss ko bhi kam karnay ka idea hasil kar sakaty hain. EUR/USD Currency pair Chart Analysis: EUR/USD pair price ko agar ham H1 time frame pay analyzed kartay hain to chart pay price currently 1.0922 aur 1.0898 support range main movements kar rahi hai. Mairay analysis k hisab say price ka yahi perfect time hai buy entry ko open karnay ka q k current price demand zones ki sell movements ko complete kar chuki hai. Agar current price 1.0922 aur 1.0898 support levels say bounced hoty hai, aur sath bullish candle ko creat karty hai to chart pay price ki upward movements start honay k chances ban saktay hain, jiska target ooper 1.0958 to 1.1000 resistance levels ho saktay hain. Agar current position rebounds hoty hai, aur sath support levels k down main breakout karty hai to chart pay price ki mazeed downward movements open honay k chances ban saktay hain jiska target neeche last low 1.0839 support levels tak movements kar sakty hai. Shukrya.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим