یورپی ڈالر بمقابلہ امریکی ڈالر
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #3091 Collapse

    EUR/USD, 2021

    Assalam Alaikum!

    30-minute ke chart aur Fibonacci grid se pata chalta hai keh qimat ooper ke channel me karobar kar rahi hai. Iske alawa, iska movement aftatafrih wala nahin hai balkeh satah se satah tak hai. Euro/dollar ki jodi ne 1.1740-1.1785 ki sideways range ko chor diya hai aur filhal ooper ki taraf badh rahi hai. Agar ham farz karen keh teesri tezi ki lahar ban rahi hai, to imkan hai keh yah taqriban 1.1850 par khatam ho jayegi, jo keh 161.8% Fibonacci level hai. Iske alawa, mujhe lagta hai keh yah gaur kiya jana chahiye keh bears ne bartari hasil karne ki koshish ki. Lekin aakhir me, bulls ne qimat wapas la di.

    Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	86.1 کلوبائٹ
ID:	12342680
       
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3092 Collapse

      Assalam Alaikum!

      Mai dekh sakta hun keh aap me se bahut se log is jodi ko farokht karne ke bare me soch rahe hain lekin badqismati se iske liy abhi koi sharayat nahin hai. Filhal, euro aage piche ho raha hai, aur jab tak yah ek khas satah tak nahin pahunch jata hai, yah niche nahin jayega. Yah bhi mumkin hai keh qimat maujudah satah se screen par nishan zad satah se niche aa jaye. Yah farokht ke liye accha signal hoga. Jahan tak abhi ki bat hai, intezar karna hi behtar hai. Ham ooper ki satah ke ban ne ka bhi intezar kar sakte hain, jaisa keh maine kaha, qimat maujudah satah se niche ki satah par girni chahiye.

      Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	46.1 کلوبائٹ
ID:	12342683
         
      • #3093 Collapse

        EUR/USD, 2021

        Assalam Alaikum!

        Kal, euro/dollar ki jodi ne Wolfe Wave pattern ki 6th wave banayi aur 1.1845 ki satah se kam hone lagi. Filhal bears ooper se 1.1800 ki support satah test karne ki koshish kar rahi hain. Technical indicators aur market sentiment ghair yaqini ki taraf ishara karte hain. Takniki tajziyah ek qalil muddati kami ko zahir karta hai, jabkeh open positions ka tanasub batata hai keh market me farokht karne walon ki taidad - 61% ghalib hai.

        Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12342703

        Aaj ka macroeconomic calendar aham releases se bhara hua hai, jisme China, Germany, Bartaniya aur sath hi America ke karobari sargarmiyon ke aidad o shumar shamil hain. Iske alawa, ADP National Employment Report bhi shaye hone wali hai. Yaqinan, ye aidad o shumar jodi ko kisi bhi simt me mod sakti hain. Halankeh, yah na bhulen keh stock market me tezi aur US Treasury yields me kami ki wajah se Dollar dawab me karobar kar raha hai, jabkeh aaj ki reports me sarmayakar pahle hi qimat set kar sakte hain.

        Mujhe lagta hai keh sabse zyada mumkena scenario jodi ki niche ki movement ko zahir karta hai. Mujhe lagta hai keh bears qimat ko niche dhakel sakega ta keh yah 1.1800 ki satah aur H4 chart par 200-roza moving average ko tod sake. Fir tawaqqo hai keh quotes ghatawar chart (1.1770) aur 1.1760 ki support satah par 200-roza moving average par fisal jayengi.

        Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	34.9 کلوبائٹ
ID:	12342704

        Mutabadil ke taur par, kharidar bartari hasil kar sakte hain. Agar qimat 1.1825 ki satah ko todti hai to, imkanb hai keh quotes 1.1865 ki muzahmati ilaqe tak badhegi.
           
        • #3094 Collapse

          Assalam Alaikum!

          Mai ek downtrend dekh sakta hun jo kal Americi session me bana tha. Mai yaqini nahin hun keh euro/dollar ki jodi usi simt me aage badhegi, lekin mai 1.1740 par hadaf ko wazeh taur par dekh sakta hun.

          Yahan intraday satah hai jo hamein simt muqarrar karne me madad karenge: agar EUR/USD 1.1845 tak pahunchti jati hai aur GBP/USD 3.806 tak pahunch jati hai to, downtrend mansukh ho jayega.

          Agar EUR/USD 1.1800 tak pahunch jata hai aur GBP/USD 1.3748 tak pahunch jata hai to downtrend ki tasdiq ki jayegi.

          Aaj ke liye hamein sirf itna hi jan ne ki zarurat hai.

          Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	42.0 کلوبائٹ
ID:	12342709

          Ab aaiye H4 time frame par ek nazar dalte hain jiski numaindagi niche di gayi tasweer ke nihe hisse me ki gayi hai. H1 par wahi char majors tasweer ke oopri hisse me dikhaye gaye hain.

          Jaisa keh ham chart par dekh sakte hain, euro aur pound H4 par niche ki taraf ulat gaye hain jabkeh Aussie AUR Kiwi sideways me aage badh rahe hain.

          Is dauran, H1 par ek surkh lakeer ooper ki taraf ishara kar rahi hai. Iska matlab hai keh downtrend me takhir ho rai hai, aur mujhe yaqin bahnahin hai keh yah kab badlega.

          Hamein intraday satah par nazar rakhne ki zarurat hai kiyunkeh un ka breakout ek wazeh tasweer dega.

          Aap ke liye ek aut tip. Surkh lakeer ishara karti hai keh bulls qimat ko ooper dhakelna chahte hain. Halankeh, agar qimat uptrend develop karne me nakam rahti hai to, Americi session me 1.1740 tak pahunchne ka ek accha mauqa hai.

          Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	142.9 کلوبائٹ
ID:	12342710
             
          • #3095 Collapse

            EUR/USD, 2021

            Assalam Alaikum!

            Mujhe lagta hai keh trend reversal ke bare me bat karna jaldbaji hogi.

            H1 chart ke mutabiq, qimat waqtan fawaqtan nayi bulandiyo par pahunchti hai. Is tarah, haqiqat yah hai keh jodi baqayadgi se intehai extreme points ko todti hai, iska matlab yah hai keh uptrend ab bhi nafiz hai.

            Halankeh, yah tezi ka daud ek islah ho sakta hai kiyunkeh dusre chart par niche ki movement ke aasar hain.

            Filhal, 1.1792 ki satah H1 par buland satah ke taur par kam karti hai. Aaj imkan hai keh qimat niche 1.1805-1.1810 ki satah tak zigzag karegi.

            Mutabadil ke taur par, euro/dollar ki jodi pullback ke begair ooper ki taraf karobar jari rakh sakti hai.

            Yaumiyah chart par, 1.1870-1.1880 ke raqbe ko hadaf ke taur par dekha ja sakta hai. In satah ke aas-pass, agar qimat 200-roza moving average se ucchalne me kamyab ho jati hai to jald hi pullback kar sakti hai.

            Is tarah, imkan nahin hai keh euro/dollar ki jodi oopri hadaf ka test hone tak niche ki taraf karobar shuru karegi.

            Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	32.8 کلوبائٹ
ID:	12342742

            Yaumiyah chart ke mutabiq, yah dekha ja sakta hai keh quotes 200-roza moving average ki taraf, yani keh, 1.1870-1.1880 ki satah ki taraf badh rahi hai.

            Agar qimat in satahon ko hasil karti hai aur fir H1 par nichli satah ko todti hai to, ham mumkena taur par jodi ki mandi ki movement ke dubara shuru hone sath trend reversal dekhenge.

            Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	24.9 کلوبائٹ
ID:	12342743
               
            • #3096 Collapse

              Assalam Alaikum!

              Asian session me, downtrend me tausie nahin ki gayi. Fir bhi, mandi ka ishara abhi bhi bana hua hai. Agar EUR/USD 1.1857 tak pahunch jata hai to, downtrend mansukh ho jayega, jis se ooper ki movement ko rasta milega. GBP/USD ke liye, 1.3796 ki satah downtrend ke ikhtetam ki nishandahi karegi.

              Agar euro par uptrend ki tasdiq hoti hai to, is ka qarib tarin oopri hadaf 1.1870 hoga. Pound ke liye, hadaf 1.3810 aur 1.3830 par mile hain.

              Agar downtrend jari rahta hai to, euro 1.1796 ke liye badh jayega aur pound 1.3743 ko nishana banayega.

              Yahan aap ke liye ek chota sa mashwara hai

              1.1857 ki satah ka breakout short downward pullback ka sabab ban sakta hai aur fir 1.1870 ki taraf ooper ki taraf reversal ho sakta hai. Iska matlab mukammal tabahi nahin hai kiyunkeh qimat qimat zyada badhne ka imkan nahin hai. Jahan tak meri bat hai, mere pas abhi bhi 1.1870 ka hadaf hai jiska abhi tak test nahin kiya gaya hai.

              Click image for larger version

Name:	U31.png
Views:	1
Size:	59.3 کلوبائٹ
ID:	12342750

              Niche, maine aap ke liye ise wazeh karne ke liye ek misal di hai. H1 ki lahron par ek nazar dalen: ap ko choti aur lambi lahren nazar aaye gi. Yaqinan, koi nahin janta hai keh mahara mandi ka signal kaisa dikhega. Fir bhi, ham tajwiz kar sakte hain keh descending trend abhi bhi bana hua hai kiyunkeh chart par wave niche ja rahi hai.

              Ooper, ek intraday satah hai. Agar qimat kam az kam ek pips se guzarti hai to, yah is bat ki nishandahi karega keh mandi ka rujhan khatam ho chuka hai. Aaj ke liye yah hamara mashwara hoga. 1.1857 ki satah ke test ka matlab kal ke mandi ke signal ka khatma hoga.

              Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	41.1 کلوبائٹ
ID:	12342751
                 
              • #3097 Collapse

                EUR/USD, 2021

                Buniyadi tajziyah

                Aaj ke macroeconomic calendar me August ke liye IHS Markit construction purchasing managers ka data shamil hai.

                Jahan tak market me open positions ke tanasub ka talluq hai, yah dekha ja sakta hai keh zyadatar traders farokht kar rahe hain. Iska matlab hai keh is bat ka zyada imkan hai keh bade player jodi ko kharidna jari rakhenge, is tarah qimat me izafa hoga.

                Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	30.1 کلوبائٹ
ID:	12342856

                Takniki tajziyah

                H4 chart ke mutabiq, 1.1840 par muzahmat ki lakeer ko todne ke bad, euro/dollar ki jodi ne rally ki aur ek ascending price channel banayi. 1.1910 par muzahmati line se paltaw ke bad qimat filhal cahnnel ki oopri hadd se niche hadd tak islah kar rahi hai. Iske alawa, yah jodi ke ascending price channel ki oopri hadd ka false breakout tha. Lehaza, imkan hai keh quotes 1.1850 ke nishan tak giregi, channel ki nichli hadd se paltaw karegi, aur fir 1.1910 aur 1.1920 ki satah ki taraf apne tezi ke movement ko dubara shuru karegi.

                Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	37.6 کلوبائٹ
ID:	12342857

                M15 chart ke mutabiq, yah dekha ja sakta hai keh pahle se bana hua ascending price channel niche ki taraf toot gaya hai. Is tarah, 1.1850 tak fisalne ke maqsad se euro/dollar ki jodi mumkan taur par niche ki taraf islah jari rakhegi. Kisi bhi surat me, yah kami ek mazbut ooper ke rujhan ke darmiyan islah ke hisse ke taur par hogi. Lehaza, qimat kisi bhi waqt daramayi taur par badh sakti hai.

                Click image for larger version

Name:	E13.png
Views:	1
Size:	32.3 کلوبائٹ
ID:	12342858
                   
                • #3098 Collapse

                  EUR/USD, 2021

                  Pichle Jumah ko, ek rally ke natije me, euro/dollar ki jodi begair kisi koshish ke 1.1896 ki muzahmat satah tak pahunchne me nakam rahi aur ise tod diya. Halankeh, qimat us satah se ooper consolidate karne me nakam rahi, halankeh hajam bahut zyada tha. Jodi ki bad ki kami ke darmiyan, aisa lagta hai keh bade bears ne positions kholna jari rakha hai. Zahir hai, pending sell orders ka ek bada cluster 1.1896 ki satah ke ilaqe me markuz hai. Is tarah, yeha orders bulls ko qimat ko zyada badhane ki ijazat nahin dete hain. Iske alawa, aaj jodi ke pas niche ki movement ko jari rakhn ka mauqa hai. Yah kami mamuli islah se mahdud ho sakti hai. Mutabadil ke taur par, qimat ek gahri pullback me dakhil ho sakti hai, jiske reversal me badalne ki ummid hai. Filhal, mujhe lagta hai keh pahle scenario ka imkan sab se zyada hai.

                  Lehaza, mujhe lagta hai keh munafa kamane ka behtarin tariqa short positions kholna hai. Aaj, mujhe ummid hai keh euro/dollar ki jodi 1.1854 ke qarib tarin support satah ke taur par apne hadaf ki taraf apne mandi ke movement ko jari rakhegi. Agar qimat is satah ko todti hai, to jodi ki kami me tezi ka imkan hai. Is surat me, reversal mumkin hai. Halankeh, is bare me bat karna jaldbaji hogi.

                  Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	270.2 کلوبائٹ
ID:	12342859
                     
                  • #3099 Collapse

                    EUR/USD, 2021

                    Assalam Alaikum!

                    Yaumiyah chart par, euro/dollar ki jodi 1.1886 ke nishan ke aas pass drift kar rahi hai. Yah buland satah hai jise qimat abhi tak par nahin kar payi hai, lekin yah bhi koshish kar rahi hai. Agar qimat aakhir kar is satah ko tod deti hai to, 1.1954 tak long positions kholna mumkin hoga. Warna, mumkin hai keh market 1.1897 tak thode aage badhegi, fir paltegi, aur 1.1805 ki support satah tak gir jayegi. Alligator indicator se pata chalta hai keh 12-15 pips ka izafa mumkin hai.

                    Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	75.7 کلوبائٹ
ID:	12342864

                    H4 chart par, 1.1894 bahut mazbut satah ke taur par kam karta hai. Qimat abhi tak is se ooper nahin chadh saki hai. Nayi rally ke liye bulls ko taqat hasil karne ki zarurat hai. Lehaza, imkan hai keh qimat 1.1862 ki satah tak pahunch jayegi. Agar koi kami nahin hoti hai to, 1.1916 ki satah ko kharidari ke pahle hadaf ke taur par dekha ja sakta hai.

                    Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	79.8 کلوبائٹ
ID:	12342865

                    Ghnatawar chart par. 1.1885 wah satah hai jis par muzahmat ki lakeer toot gayi hai. Is tarah, gara qimat is ke niche fix hoti hai to, 1.1867 ki satah short positions par gaur karna mumkin hoga. Mutabadil ke taur par, qimat muzahmat ki line tak, yani, 1.1886 ki satah tak badh sakti hai. Is surat me, traders 1.1867 tak short ja sakenge.

                    Click image for larger version

Name:	E33.png
Views:	1
Size:	68.4 کلوبائٹ
ID:	12342866
                       
                    • #3100 Collapse

                      EUR/USD, 2021

                      Assalam Alaikum!

                      Euro.dollar ki jodi 1.1870-55 ki support satah ko overcome karne me nakam rahi aur for 1.1885-1.1910 ke muzahmati zone me wapas aa gayi. Is tarah, tejarati rahnge ki hadd ki wazahat ki gayi hai. iske mutabiq, agar qimat 1.1885-1.1910 ke raqbe ke qarib pahunchti hai aur is se toot jati hai to, jodi ke pas 1.1920-1.1970 ke mazbut resistance zone ko overcome karne je liye ek aur koshish karne ka mauqa hoga. Filhal, takniki nuqtah nazar se, yah mumkena taur par niche ki taraf movement ki tasulsul ki nishan dahi karta hai. Kamzori ko badhane ke liye, euro ko niche girkar 1.1840 tak pahunchne ki zarurat hai. Is surat me, ummid hai keh qimat 1.1870-55 se ooper kharidaron ke jame kardah locked volume ko hasil karegi, jo jodi ke mazid mandi ke daur ko badhawa dega. 1.1840-35 ke ilaqe ko jodi ki kami ke liye intraday hadaf ke taur par dekha ja sakta hai. Agar qimat is satah ko todti hai to, imkan hai keh quotes 1.1800-1.1795 ke raqbe aur fir 1.1690-65 ke support zone tak pahunch jayegi. Darmiyani muddat me, pichle hafte ke 1.1900 ke gol satah par islah ke bad, mujhe ummid hai keh euro/dollar ki jodi .1630-40 aur 1.1600-1.1590 par ghair janch shudah hadaf ki taraf badhegi. Asian session me, euro/dollar ki jodi apne mandi ke movement ki taiyari kar rahi hai.

                      Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	43.2 کلوبائٹ
ID:	12342907

                      Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	38.4 کلوبائٹ
ID:	12342908
                         
                      • #3101 Collapse

                        Assalam Alaikum! Kal, jodi 1.1855 par support ki ek nayi satah par pahunch gayi. Agar qimat aaj is satah ka re test karti hai, to yah muqami uptrend ke khatme ki nishandahi karegi.

                        Tab tak, 1.190 ki testing ka imkan zyada lagta hai. Trend reversaL abhi tak shuru nahin hua hai, aur bears abhi bhi open positions ke control me hai. Halankeh, JUmah ke muqable me kal open positions ki taidad me kafi kami aayi thi.

                        Maine farokht na karne ka faisla kiya kiyunkeh maine pahle hi is muqam par reversal ko catch karne ki koshish ki thi aur andaza lagaya keh kya hota hai.)))

                        Filhal, mujhe long jane ka koi achha mauqa nahin dikh raha hai. Hamein higher time frames par ek gahri kami dekhne ki zarurat hai ta keh ham high ka test karne ke liye kafi kharidari kar sakehn. Mujhe lagta hai keh jab tak qimat 1.1855-1.1910 ki hadd se bahar nahin nikal jati hai, tab tak intezar karna behtar hai.

                        Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12342910

                        Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	58.4 کلوبائٹ
ID:	12342911
                           
                        • #3102 Collapse

                          Assalam Alaikum!

                          Demo account par trading karne walon ke bar-aks, hamein ehtiyat se kam karna hoga aur apne har qadam par nazar rakhni hogi.

                          Kal, hamne euro par tabadla khayal kiya aur is par oopri pullback dekhne ki tawaqqo ki. Jodi ne waqai pullback nahin kiya, aur ab aham lamha hai. Pullback ke bad jodi downtrend me aage badhna jari rakh sakti hai. Filhal, sab kuch thik chal raha hai aur mujhe lagta hai keh ek aur short upside pullback so sakta hai. Yah kam waqt ke frame par ho sakta hai. Uske bad, jodi niche ki taraf badh sakti hai. Hamare samne aage European session hai. Yahm imkan hai keh qimat pure session ke liye sideways tariqe se aage badhegi. Bad me, American session shuru hone par iske trajectory me behtari ho sakti hai.

                          Mai aaj ke liye mudarja zail hadaf dekhta hun:

                          EUR/USD par, 1.1845 aur 1.1800.

                          GBP/USD par, 1.3795 aur 1.3750.

                          Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	55.6 کلوبائٹ
ID:	12342912

                          Ab aaiye ek bade time frame par ek nazar dalte hain.

                          Yahan, mere liye sab kuch wazeh hai: H4 par aam zigzag pattern. Aap ise apne aankhon se dekh sakte hain. Aaiye ummid karte hain keh meri pesahngoiyan hamare liye bhari munafa layengi!

                          Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	43.7 کلوبائٹ
ID:	12342913
                             
                          • #3103 Collapse

                            EUR/USD, 2021

                            Assalam Alaikum!

                            Mujhe lagta hai keh euro/dollar ki jodi niche ki taraf shift ho gayi hai. Ise kayi awamil se mansub kiya ja sakta hai. Char ghante ke chart ke mutabiq, yah dekha ja sakta hai keh quotes pahle hi 1.1835 aur 1.1850 ki satah tak mahdud hadd me gir chuki hain. Iska matlab hai keh jodi 1.1800 ki satah ke wast se taqriban niche fix ho chuki hai.

                            Iske mutabiq, aisi surat me, euro/dollar ki jodi ke pas apni mandi ke daud ko jari rakhne ka paura mauqa hai.

                            Dusre lafzon me kahen to, mai tawaqqo karta hun keh 4-ghante ke chart par Ichimoku Cloud ki balayi hadd aur TMA bands ki nichli hadd, yani 1.1808 tak quotes maujudah qimat se kam ho jayengi.

                            Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	32.3 کلوبائٹ
ID:	12342979

                            Relative Strength Index bhi jodi ke downward movement ki taraf ishara karta hai. Halankeh, H4 chart par, Stochastic indicator bottom par hai, jo jodi ke mandi ke daur ko mahdud karta hai, kiyunkeh kisi bhi waqt yah ooper ki taraf mud sakta hai.

                            Is suarat me, mai yaumiyah chart par tawajjoh markuz karunga. Iske mutabiq, yah dekha ja sakta hai keh euro/dollar ki jodi filhal downtrend me karobar kar rahi hai.

                            Yaumiyah chart se pata chalta hai keh D1 par Relative Strength Index aur Stochastic indicator ki taraf se qimat ki kamzori ki tasdiq ki ja sakti hai.

                            Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	34.4 کلوبائٹ
ID:	12342980

                            Iske alawa, yaumiyah chart ki madad se, ham wazeh taur par dekh sakte hain keh quotes maujudah qimat par kiyun fans gayi hai.

                            1.1835 ki satah Ichimoku Cloud ki nichli satah ke taur par kam karta hai, jo jodi ki taraqqi ke liye mazbut support line hai. Agar qimat ise todti hai to, imkan hai keh euro/dollar ki jodi zyada tez raftar se giregi aur fir char ghante ke chart par ishara kardah 1.1808 ki satah ka test karegi, jo yaumiyah chart par moving average line ke sath mawafiq hai.

                            Lehaza, in do charts ka mawazna karne ke bad, mai sirf yah natija akaz kar sakta hun keh maujudah intraday downward wave ke hisse ke taur par quotes kam az kam 1.1808 ke nishan tak gir jayengi.
                               
                            • #3104 Collapse

                              EUR/USD, 2021

                              Kal, euro/dollar ki jodi me kami aayi aur mere tawaqqoaat ke mutabiq 1.1813 par support satah ka test kiya. Iske alawa, qimat ne is sata se niche jane ki koshish ki, lekin yah nakam raha. Sath hi, jodi ki support satah ke test ke darmiyan trading volume kafi zyada tha. Haqiqat yah hai keh qimat apni niche ki movement ko jari rakhne me nakam rahi hai, jo bears ki kamzori ki taraf ishara karti hai. Zahir hai, 1.1813 ke ird-gird pending buy orders ka ek bada cluster hai, jo Americi dollar ko mazid mazid se rok raha hai. Iska matlab hai keh euro/dollar ki jodi ke pas mamuli muqami pullback ka har mauqa hai.

                              Lehaza, mujhe yaqin hai keh munafa kamane ka behtarin tariqa short positions kholna hai. Aaj, mujhe ummid hai keh euro/dollar ki jodi 1.1813 ki support se ucchlegi aur 1.1839 ke nishan ki taraf islah karegi. Is ilaqe me, mai 1.1783 se niche waqe hadaf ki satah tak pahunchne ke maqsad se short jane ki koshih karunga.

                              Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	330.8 کلوبائٹ
ID:	12343027
                                 
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #3105 Collapse

                                Assalam Alaikum!

                                Euro apne downtrend ko develop karna jari rakhe hue hai jiski tasdiq H1 time frame par indicator ke zariye ki gayi hai: yah mazbuti se niche ki taraf ishara kar raha hai, aur descending wave bhi sahi size hi hai. H4 par, isne pahle ooper ki simt dikhayi, lekin ab yah neytral hai. 1.1870 par zigzag pattern ki ek satah hai jiska test karne ki zarurat hai. Iska tashkil oopri line ke breakout aur niche ki taraf zigzag movement ki wajah se hua tha, jise ek oopri zigzag ke sath khatam hona chahiye tha, lekin yah H4 par nahin hua. Lehaza, mujhe lagta hai keh qimat der-saber is satah par wapas aa jayegi.

                                Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	368.6 کلوبائٹ
ID:	12343041

                                Intraday chart par, ham breakout ki satahon par amal kar ke qimat ki simt muqarrar kar sakte hain. Agar qimat kal ki nichli satah ka test karti hai, to isme kami jari rahegi. Fir bhi, 1.1845 ki satah ka breakout downtrend ko mansukh kar dega. M15 aur M30 par indicators ne kharidari ka signal paida kiya. Aaiye dekhen keh yah kaise develop karega. Ab tak, balayi hadd ka ek breakout hua hai, aur iske bad zigzag ka imkan hai. Aaj, khabar 11:45 aur 12:30 GMT par jari kiya gaya hai, lehaza yah ho sakta hai keh European session ke pahle nasf me jodi zigzag tariqe se aage badhe.

                                Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	293.2 کلوبائٹ
ID:	12343042


                                   

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X